Thursday 28 May 2015

Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar daikho.

Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar daikho.
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar daikho.. 
Zindagi kya hai kitabon ko hata kar daikho.. 

Woh sitara hai chamaknay do yoon hi aankhon mein.. 
Kya zaroori hai usse jism bana kar daikho.. 

Patharon mein b zuban hoti hai dil hotay hain.. 
Apny ghar k Dar.o.deewar saja kar daikho.. 

Faasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai.. 
Woh milay ya na milay hath barha kar daikho..


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...