Saturday 10 October 2015

Mere Be-Rabt Khayalaat Men Kiya Rakha Hy,

Mere Be-Rabt Khayalaat Men Kiya Rakha Hy,
Mere Be-Rabt Khayalaat Men Kiya Rakha Hy, 
Main To Pagal H0o'n Meri Baat Mein Kiya Rakha Hy, 

Bandh Rakha Hy Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhy 
Warna Guzry Huwe Lamhat Me Kiya Rakha Hy, 

Meri Takmeel Teri Zaat Se Hi Mumkin Hy, 
Tu Alag Ho to Meri Zaat Mein Kiya Rakha Hy, 

Ye Shab-0-R0z Tere Dum Se Hi Tabinda Hen, 
Warna In Gardish-E-Halat Men Kiya Rakha Hy, 

Umar Bhar Sath Nibhao To Koi Bat Bany, 
Chand Lamhon Ki Mulaqat Men Kiya Rakha Hy..

Abhi na jana... Kabi na jana..

Abhi na jana...  Kabi na jana..
Bichartey lamhey jo main ney poocha, 
Tumari aankhon ko kia huwa hai, 

Tou uski aankhon ki beeghi palkein bata rahi thin, 
kahaniyan kuch suna rahi thin, 

Puranay Qissey gaye dinon k, 
Aur us k honton ki larzishon se main sun raha tha kuch aisi batein, 

K jin ki aahat ye keh rahi thi, 
k meri khatir bas itna kar lo, 

Ye chnd saansein mera asasa, 
Tum in ko ley lo... 

Par is k badlay ye eltija hai, 
Abhi na jana... 
Kabi na jana..

Bara Pukhta Mizaaj Hai Wo Shakhs..

Bara Pukhta Mizaaj Hai Wo Shakhs..
Bara Pukhta Mizaaj Hai Wo Shakhs.. 

Usey Yaad Rehta Hai, K Mujhe Yaad Nahi Karna..

Ye Kyaa Baat Hoi..

Ye Kyaa Baat Hoi..
Ye Kyaa Baat Hoi.. 

Yaadain Adhori Aur Dukh Poray..

Tumhain Kheyal Nahi Kis Tarha Bataain Tumhain.

Tumhain Kheyal Nahi Kis Tarha Bataain Tumhain.
Tumhain Kheyal Nahi Kis Tarha Bataain Tumhain. 

Sans Chalti Hai Magar Udas Chalti Hai ..

Mery Qisay Main W0 Aatay hain..

Mery Qisay Main W0 Aatay hain..
Mery Qisay Main W0 Aatay hain.. 

Meray Hisay Main W0 ki0n Nahi Aatay..

Ye meri ghazlen ye meri nazmen

Ye meri ghazlen ye meri nazmen
Ye meri ghazlen ye meri nazmen 
Tamam teri hikayaten hain 

Ye tazkare tere lutf ke hain 
Ye shair teri shikayaten hain 

Mujhe khabar thi keh tere aanchal main 
Dard ki rait chanta hun 

Magar har ik baar tujh ko chu kar 
Ye rait rang-e-hina bani hai 

Aur ab ye sari mata-e-hasti 
Ye phool ye zakhm sab tere hain 

Ye dukh ke nohay ye sunk ke naghme 
Jo kal mere the wo ab tere hain 

Jo teri qurbat teri judai 
Main kat gaye roz-o-shab tere hain 

Wo jis ke andaz khusarwana the 
Aur adaain ghalib si theen 

Wo kohkan to nahin tha lekin 
Kari chatanon se larh chuka hai 

Wo thak chukka tha aur us ka tesha 
Ussi ke seenay main garh chuka hai

My Life is not perfect

My Life is not perfect 
but Im thankful for EVERYTHING i have..

When u give lot of importance to someone in ur life..

When u give lot of importance to someone in ur life.. 
You loose your importance in their life.. 
Is it true

ChuP Reh kaR Bhi DuKh hi DaiTay hO...

ChuP Reh kaR Bhi DuKh hi DaiTay hO...
ChuP Reh kaR Bhi DuKh hi DaiTay hO... 

GufTuGu seY ye kaaM Kar Lo Naa...

Raat Hay Sanaata Hay Wahan Koi Na Ho Ga...

Raat Hay Sanaata Hay Wahan Koi Na Ho Ga...
Raat Hay Sanaata Hay Wahan Koi Na Ho Ga... 

Un Kay Dar o Dewaar GhaLiB 
ChaLo Choom Kay Aatay Hen..

Kisi Dushman Ye Izzat Mujhey Ab tak Nahi Bakhshi..

Kisi Dushman Ye Izzat Mujhey Ab tak Nahi Bakhshi..
Kisi Dushman Ye Izzat Mujhey Ab tak Nahi Bakhshi.. 

Humesha Dost hi ka Haath Pohnchaa hai Garibaan tak..

AiK Arsey Se Wo MiLaa Hi NaHin..

AiK Arsey Se Wo MiLaa Hi NaHin..
AiK Arsey Se Wo MiLaa Hi NaHin.. 

AiK MuDDaT Se LaaPaTa H0oN MaiN..

Kon Aaya K Nigahon Mein Chamak Jag Uthi,

Kon Aaya K Nigahon Mein Chamak Jag Uthi,
Kon Aaya K Nigahon Mein Chamak Jag Uthi, 
Dil K Soye Howay Taron Mein Khanak Jag Uthi, 

Kis K Aane Ki Khabar Le K Hawain Aain, 
Jism Se Phool Chatakne Ki Sadain Aain, 

Rooh Khilne Lagi Sanso Mein Mehk Jag Uthi, 
Dil K Soye Howay Taron Mein Khanak Jag Uthi, 

Kis Ne Youn Meri Taraf Dekh K Bahein Kholein, 
Shokh Jazbat Ne Seene Mein Nighain Kholein, 

Hont Tabne Lage Zulfon Mein Lachak Jag Uthi, 
Kis K Hathon Ne Mere Hathon Se Kuch Manga Hai, 

Kis K Khawabon Ne Mere Khawabon Se Kuch Manga Hai, 
Dil Machalne Laga Anchal Mein Dhanak Jag Uthi, 

Dil K Soye Howay Taron Mein Khanak Jag Uthi... 
Poet Sahir Ludhianvi

Sunday 4 October 2015

Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.

Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.
Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir. 

Tum Yaad Na Karo Gay 
TU Kya Subha Na Hogi.

Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale

Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale
Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale 
Chale Bhi Aao Ke Gulshan Ka Karobaar Chale 

Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se kuch To Kaho 
Kahi To Bahre Khuda Aaj Zikar E Yaar Chale 

Kabhi To Subh Tere Kunj E Lab Se Ho Aaghaz 
Kabhi To Shab Sar E kaakul Se Mushkbaar Chale 

Bara Hai Dard ka Rishta Ye DiL Gharib Sahi 
Tumhare Naam Pe Aaenge ghamgusar chale 

Jo Hum Pe Guzri So Guzri Magar Shab E Hijraan 
Hamare Ashk Teri Aaqbat Sanwaar Chale 

Maqaam Faiz koi Raah Main jacha Hi Nah 
Jo kuye Yaar Se Nikle To Suye Daar Chale..

Jaisay Nangay Paaon.

Jaisay Nangay Paaon.
Jaisay Nangay Paaon. 
Phattay Puranay Kapr0n waaly Bachay 

Apni Khaali Jaib0n ka Ehsaas liye 
Dil Ko Achi lagnay waali 
Mehngi Cheezen 

Kisi Dukaan k Band Sheesh0n say 
Pehr0n lag kar Taktay hain Na.. 

Main Bhi Tum ko y0un hi 
Aksar Takta rehta H0on..

tumhare baad bas itna howa hai...

tumhare baad bas itna howa hai...
tumhare baad bas itna howa hai... 

Mein ab kherki se barish dekhta hun...

Tumharey Baad Bass Itna Hua Hai

Tumharey Baad Bass Itna Hua Hai
Tumharey Baad 
Bass Itna Hua Hai 
Mohabbat Pyar Bharosa Aitbar 
Meri Zindagi Ki Lughatt Se 

Youn Achanak Mitt Gaye 
Jaisey Kabhi They Hee Nahin

Main saahil pey likhi howi ibaarat nahi

Main saahil pey likhi howi ibaarat nahi
Main saahil pey likhi howi ibaarat nahi 
Jo lehron se mit jaati hay 
Main baarish ki barasti boond nahi 
Jo baras ker tham jaati hay 

Main khwab nahi 
Jisey dekha aur bhula diya 
Main shama nahi 
Jisey phoonka aur bujha diya 

Main hawa ka jhonka nahi 
Jo aaya aur guzar gaya 
Main chand bhi nahi 
Jo raat k baad dhal jaye 

Main to woh ahsaas hoon 
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay 
Main to woh rang hoon 

Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay 
Main woh geet hoon 
Jo teray labon se juda na hoga 
Main to woh parwaana hoon 

Jo jalta rahayga magar fana na hoga 
Khwab ibaarat hawa ki tarah 
Chand boond shama ki tarah 

Meray mitnay ka sawaal nahee 
Kyun kay Main to Mohabbat HooN 
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahi

Wo waQt meri jaan Bohat door nahi hai

Wo waQt meri jaan Bohat door nahi hai
Wo waQt meri jaan Bohat door nahi hai 
Jab dard say ruk jaayen gi sab zeest ki raahein 

Or hadd sy guzar jaye ga Andoh Nihaani Jhukk jaayen gi tarsi hoyi nakaam nigaahein 

Chhinn Jaayen gaye mujh say meray Aansu Meri Aahein
Wo waQt meri Jaan bohat door nahi hai... 

Faiz Ahmad Faiz

WaQt darmaan pazeer tha hi nahi..

WaQt darmaan pazeer tha hi nahi..
WaQt darmaan pazeer tha hi nahi.. 
DiL Lagaya tha DiL Laga Hi nahi.. 

Tark e uLfat hai kiss Qadar Aasan.. 
Aaj to Jaisy Kuch Huwa hi nahi.. 

Hai Kahan Moj e Saba Wo Shameem.. 
Jaisy To Moj e Saba Hi nahi.. 

Jiss say Koi khata Hoi Ho Kabhi.. 
Hum ko wo Aadmi MiLa Hi nahi.. 

Wo Bhi kitna kathin Raha Ho Ga.. 
Jo K Acha Bhi Tha Bura Hi Nahi.. 

Koi Daikhay To Mera Hujra e Zaat.. 
Yahan sab Hi Kuch Wo Tha Wo Tha Hi Nahi.. 

Aik Hi Apna MiLnay WaLa Tha.. 
Aisa Bichhrra K Phir MiLa Hi Nahi..

Ae waqt zara to tham ja Mujhe yaad KISI ko karne de..

Ae waqt zara to tham ja Mujhe yaad KISI ko karne de..
Ae waqt zara to tham ja Mujhe yaad KISI ko karne de.. 
Mujhe piyar hai ik SUNG DIL se Jo koi BAAT mujhay na karne de.. 

Na apne PASS wo aanay de Na khud se DOOR wo janay de.. 
Na DIL ko apne pass rakhay Na aur kisi ka HONaY de.. 

Har waqt mujhe WO yaad aaye Phir DIL se ik aawaz aaye.. 
Ye kaisi CHAHAT hai us ki Jo JEENaY de na MARNaY day..

Ek Tassver Jo Kamray Me Lagai Hui Hay..

Ek Tassver Jo Kamray Me Lagai Hui Hay..
Ek Tassver Jo Kamray Me Lagai Hui Hay.. 
Ghar Ki Toti Hui Divar Chupai Hui Hay.. 

Dhol Ka Shor Qayamat Hay K Teri Barat.. 
Dosray Gaaon Se Is Gaaon Me Aae Hui Hay.. 

Ankh Par SheSha Lagaya Hay K Mehfoz Rahay.. 
Teri Tassver Jo Pani Me Banai Hui Hay.. 

Takhat Or Taaj To Paaon Me Parray Rehtay Hen.. 
Wo Gadai Teray Darvesh Ne Pai Hui Hay.. 

Qabar Par Deep Na Rakh Naam Ka Kutba Na Laga.. 
Hum Ne Mushkil Se Ye Tanhai Kamai Hui Hay..

Meri Soch k Thehre Pani Me..

Meri Soch k Thehre Pani Me..
Meri Soch k Thehre Pani Me.. 
Tere NaiN Kanwal Jab HaNste haiN.. 
Mere Dhyaan k Ujlay AaNgaN Me.. 
Jab Subha Sitaray Chunti hai.. 

Jab ShaaM koi Sur Bunti hai.. 
MaiN Sochta hon in RastoN Me.. 
HuM Kitni dair k Baad Mile.. 
Jab kitne Mosam Beet gaye.. 

Is Karab Kathor Musafat Me.. 
Dil SadiuN Chakna Choor hoa.. 
Is Hijar k Taptya Sehra Me.. 
Kya ghazlen thi jo Raakh Hoi.. 

Kya NeendeN thi jo Khaq hoi.. 
Ham Kitni Dair k Bad Mile.. 
Kiu itni Dair k Baad Mile..

Tum meray pe koi ilzam Na do..

Tum meray pe koi ilzam Na do..
Tum meray pe koi ilzam Na do.. 

chaha tha Tumhay ye he ilzam bohat hai..

Woh Naa Hi Milta mujhay To Achaa Tha..

Woh Naa Hi Milta mujhay To Achaa Tha..
Woh Naa Hi Milta mujhay To Achaa Tha.. 

BeKaar Mein Mohabbat Se Nafrat ho Gay

Sara Din Us Ka Khayal Sari Raat Us Ki Yadain Aur Ye Aansu

Sara Din Us Ka Khayal Sari Raat Us Ki Yadain Aur Ye Aansu
Sara Din Us Ka Khayal Sari Raat Us Ki Yadain Aur Ye Aansu 

Mujhe To Mohabbat Gunahon Ki Saza Lagti Hay..

Tujhe jo malom hotay WAFA k rasm o riwaj sarey..

Tujhe jo malom hotay WAFA k rasm o riwaj sarey..
Tujhe jo malom hotay WAFA k rasm o riwaj sarey.. 

MOHABBATON me humaara qissa 
misaal hota. 
kamaal hota.

TuM Nay To Naam He Sunay Hain FaqaT..

TuM Nay To Naam He Sunay Hain FaqaT..
TuM Nay To Naam He Sunay Hain FaqaT.. 

Hum Nay Seh Kar Aazab Daikhy HaiN..

Zarurat Jab Bhi Thi Mujh K0 Kisi K Saath H0ny Ki..

Zarurat Jab Bhi Thi Mujh K0 Kisi K Saath H0ny Ki..
Zarurat Jab Bhi Thi Mujh K0 Kisi K Saath H0ny Ki.. 

Unhi Makhsoos Lamhon Main.. 
Mujhy Apnon Nay Chora Hai..

Phir B Bethi Hai Khizaan BaGh Ki Deewar K Sath.

Phir B Bethi Hai Khizaan BaGh Ki Deewar K Sath.
Phir B Bethi Hai Khizaan BaGh Ki Deewar K Sath. 
Jab K Patta B Ni Hai Koi Ashjaar K Sath. 

Aik Hai Meri Ana aik Ana Kis Ki Hai. 
Kis Ne Deewar Bana Di Meri Deewar K Sath. 

Tum Bary LoG Ho Seedhy Hi Guzar Jaty Ho. 
Warna Kuch TanG si Galiyan B Hain Bazaar K Sath. 

MustaqiL Dard Ka Sauda Hai Zara Narmi Se. 
Kuch Riayat B Tu Karty Hain Khareedar K Sath. 

Main Ne Pechan Liya Door Se Ghar Tera Hai. 
PhooL Lipty Hoye Dekhe Jahan Deewar K Sath... 
pOet NaSir Kaazmi

Naqsh Mubham Hain Sabhi Rang Bhi Utra Mera.

Naqsh Mubham Hain Sabhi Rang Bhi Utra Mera.
Naqsh Mubham Hain Sabhi Rang Bhi Utra Mera. 
Janay Ye Aayine Dhundle Hain K Chehra Mera. 

Phir Kisi Dhoop Se Ja Kar Na UlaJh Jaon Kahin. 
Mere Qadmon Hi Se Lipta Raha Saya Mera. 

Rait Me Jazb Howy Aik Zamana Beeta. 
Ab Kahan Tashnagi Teri Kahan Darya Mera. 

Main ne Har Bazm K Aadab Nibhaye Lekin. 
Apni Tanhayi Se Toota Nahi Rishta Mera. 

Bujh Chuka Hon Main Magar Yaad Hai Ab Bhi Mujh Ko. 
Aik Shab Chaand Ne Maanga Tha Ujaala Mera. 

Kis Tarah Barf Paharhon Pay Nadi Banti Hai. 
Koi Daikhy Tu Sahi Roz Pighalna Mera. 

Mere Andar Hi K Toofan Usay Lay Doobay. 
Mujh Me Hi Doob Gaya Koi Jazera Mera..

Tum BuS Meri MuHaBaT SamBHaL Kar RakHo..

Tum BuS Meri MuHaBaT SamBHaL Kar RakHo..
Tum BuS Meri MuHaBaT SamBHaL Kar RakHo.. 

DuNiya Ko MaiN AkeLa SamBHaL Loon Ga..

Suna hay bohat hi masroof rehtay hain ehel e Hussan..

Suna hay bohat hi masroof rehtay hain ehel e Hussan..
Suna hay bohat hi masroof rehtay hain ehel e Hussan.. 

Sanwarny main sataney main kabi khud ko hum say chupaney..

Aankhon Pe Haath Rakhay

Aankhon Pe Haath Rakhay
Aankhon Pe Haath Rakhay 
Bachpan Ko Youn Soch Rahi Hoon 
Jahaan Baba Ki Goud Mein 
Sar Rakh K Roya Karti Thi Har Roz Apni 

Naye Zid Boya Karti Thi 
Yaad Hai Baba Tum Ko 
Ek Din Meri Gurriya Toot Gayi Thi 
Phir Main Tum Se Rooth Gayi Thi 

Sar Pe Haath Rakh K 
Baba Tum Bole Thay.. 
Rab Kabhi Na Rulaye Tujhe 
Sukh Mere Bhi Dikhaye Tujhe 

Jab Jab Andhera Aaye Ga 
Baba Roshan Diya Jalaye Ga 
Baba Arsa Beet Gaya Hai 
Ab Tera Aangna Chout Gaya Hai 

Sukh Badle Hain Dukh Mein Mere 
Aur.. 
Gurriya Teri Toot Gayi Hai 
Apne Naseeb Se Rooth Gayi Hai 

Aaj Bhi Tum Aao Na Baba 
Roshan Diya Jalao Na Baba 
Gurriya Teri Aaj Ro Rahi Hai 
Aaj Phir Se Apni Goud Mein Sulaao Na Baba

Khwahishon Pe Pabandi Chahton Pe Pehra Tha.

Khwahishon Pe Pabandi Chahton Pe Pehra Tha.
Khwahishon Pe Pabandi Chahton Pe Pehra Tha. 
Rooh Per Riwajon Ka Zakham Kitna Gehra Tha. 

Aaj Tak Mere Dil Mein Khushboein Mehakti Hain. 
Aik Shakhs Barson Pehle Dil Mein Aa Ke Thehra Tha. 

Dil K Dasht Per Aj Toot K Jo Barsa Hai. 
Uski Yad Ka Badal Sham Hi Se Gehra Tha. 

Us k Husn Men Hum Ne Chandni Ko Dekha Tha. 
Wo Shakhs Kya Tha Bas Chandni Ka Chehra Tha. 

Wo Roshni Ka Talib Tha Kho Gaya Kahen Mujh Se. 
Mein Rat Ka Musafir Tha or Her Tarf Andhera Tha.

Khawab Posh Aankhon Mein..

Khawab Posh Aankhon Mein..
Khawab Posh Aankhon Mein.. 
Aansuon Ka Bhar Jana.. 

Hasaraton K Saahil Par.. 
Titliyon Ka Mar Jana.. 
Habbs Ki Hawaaon Mein.. 
Khushbuon Ka Darr Jana.. 

Dil K Garm Sehra Mein.. 
Hashar Hi Barpaa Hona.. 
Dard La-Dawa Hona.. 
Kaya Bohat Zaroori Tha.. 

Youn Tera Juda Hona... 
Kya Bohat Zarori Tha..

Door Ho kar Rula Na Dena.

Door Ho kar Rula Na Dena.
Door Ho kar Rula Na Dena. 
Chup Reh Kar Saza Na Dena. 
Na De Sako Khushi To Gham Hi Sahi. 

Bas aik Wada Karo K Zindagi Me Hamen Kabhi Bhula Na Dena.

Teri Muhabbat Ne Maar Dala Hazaar Aiza Se Mujh Ko Zaalim

Teri Muhabbat Ne Maar Dala Hazaar Aiza Se Mujh Ko Zaalim
Teri Muhabbat Ne Maar Dala Hazaar Aiza Se Mujh Ko Zaalim 

Rula Rula Kar.. 
Ghula Ghula Kar.. 
Jala Jala Kar.. 
Mita Mita Kar..

Ye Kahani Taweel Hai Saahib

Ye Kahani Taweel Hai  Saahib
Ye Kahani Taweel Hai 
Saahib 
Mukhtasir Ye K Khwab Toot Gaya..

Tumhare Aane Ki Ik Aahat Si Hoti Hai

Tumhare Aane Ki Ik Aahat Si Hoti Hai
Tumhare Aane Ki Ik Aahat Si Hoti Hai 
Na Jane Q Dil Mein Halchal Si Hoti Hai 

Tumhe Dekhne Ko Jee To Chahta He Magar 
Tumhari Aankhon Me Aksar Ik Shararat Si Hoti Hai 

Tum Jo Muskura K Mujhe Ik Nazar Dekho 
Aesa Lagta Hai Jese Sehra Me Barish Si Hoti Hai 

Tum Chalo Sath Mere umer Bhar K Liye 
TUmhe Dekh Kar Aksar Ye Khwahish Si Hoti Hai 

Mere Hatho Ki LakeeRon Me Ho Shamil Naam Tmhara 
Takdeer Se Aksar Ye Guzarish si Hoti hai..

Tohfay Me Usay Chaand Bhi ManZoor Nahi Tha..

Tohfay Me Usay Chaand Bhi ManZoor Nahi Tha..
Tohfay Me Usay Chaand Bhi ManZoor Nahi Tha.. 

Main Bhej Raha Tha Jisy SoGhaat Me JuGno..

Apne Khwabon Ki Moat Par Jana..

Apne Khwabon Ki Moat Par Jana..
Apne Khwabon Ki Moat Par Jana.. 

Main Na Marta To Aur Kya Karta ..

Jin k chahre hon chaand ki tarha..

Jin k chahre hon chaand  ki tarha..
Jin k chahre hon chaand 
ki tarha.. 

un k dil me b daagh hotay hain..

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...