Friday 31 July 2015

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,

Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,
Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty, 
Yeh Log bhi kya Log hain mar Kyoun nhi jaty, 

Hai kon zamany mein mera poochny waLa, 
Nadaa'n hain jo kehty hain k ghr kyoun nhi jaty, 

ShoaLay hain to kyoun in ko bharrakty nhi daikha, 
Hain khaak to rahon mein bikhar kyoun nhi jaty, 

Aansu bhi hain Aankhon mein duaayen bhi hain Labb par, 
Bigrry huwy HaLaat sanwar kyoun nhi jatay..

Baksh deta hai Khuda unko

Baksh deta hai Khuda unko
Baksh deta hai Khuda unko 
Jinki kismat kharab hoti hai 

Wo hargiz nahi bakshe jate hai 
Jinki neeyat kharab hoti hai 

Na mera ek hoga na tera lakh hoga 
Na tareef teri hogi na mazak mera hoga 

Gurur na kar Shah e shareer ka 
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga 

Zindagi bhar branded branded karne waalo 
Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota 

Koi ro kar dil bahlata hai 
Or koi hass kar dard chupata hai

Smile And Tears Are The Powerful Couple Of The World,

Smile And Tears Are The Powerful Couple Of The World, 
Usually They Are Not Seen Together 
But 
When They Are Together 
It is The Best Moment Of life..

Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya

Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya
Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya 
Kahaan kahaan teri yaadon ne dil ko thaam liya 

Fiza ki aankh bhar aayi, hawa ka rang urra 
Sukoot-e-shaam ne chupkay se tera naam liya 

Wo main nahi tha k ik harf bhi na keh paya 
Wo be'basi thi k jis ne tera salaam liya 

Har ik khushi ne tere gham ki aabroo rakh li 
Har ik khushi se tere gham ne intiqaam liya 

Wo ma'arka tha k fateh-o-shikast bhi na mili 
Wo na-murad ne kya jaane kis se kaam liya 
Poet: Shaaz Tamkanat

Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon..

Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon..
Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon.. 

Apny aap sy bahir niklon TUM ho jaon..

Koi b shaks mere taur ka nahi ho ga

Koi b shaks mere taur ka nahi ho ga
Koi b shaks mere taur ka nahi ho ga 

Wo mere baad kisi aur ka nahi ho ga

Ay Chaand Chla Jaa kiun Aya Ha Meri Chokat Pe..

Ay Chaand Chla Jaa kiun Aya Ha Meri Chokat Pe..
Ay Chaand Chla Jaa kiun Aya Ha Meri Chokat Pe.. 

Chor Gya Wo Shakhs Jis K Dhoke Me Tujhe Daikhte Thay..

Kitnay aish uratay hon gay kitnay itaratay hon gay

Kitnay aish uratay hon gay kitnay itaratay hon gay 
Jaane kaise loog vo hon gay jo us ko bhatay hon gay 

Us ki yaad ki baad-e-sabaa mein aur to kya hota hoga 
Youn hii meray baal hain bikhare aur bikhar jaate hon gay 

Band rahe jin kaa daravaazaa aise gharon ki mat pocho 
Divaaren gir jaati hon gii aangan rah jaate hon gay 

Meri saans ukhartay hi sab bain karen gaz roen gay 
Yauni mere baad bhi yauni saans liye jaate hon gay 

Yaro kuch to baat batao us ki qiyamat baahon ki 
Vo jo simattay hon gay in mein vo to mar jaate hon gay

Every day do something

Every day do something that will inch you closer to a better tomorrow. 
Doug Firebaugh.

Ishq B Seekha.. Mohabbat B Seekhi Wafa B Seekhi..

Ishq B Seekha.. 
Mohabbat B Seekhi 
Wafa B Seekhi.. 

Kaash.. 
kuch Bewafayi Ka Hunar B Seekh Letey Tu Hum B Unki Tarah Khush Rehtey.

Wednesday 29 July 2015

Bas Teri Yad Hi Hai Jo Dhal Na Pai..

Bas Teri Yad Hi Hai Jo Dhal Na Pai..
Bas Teri Yad Hi Hai Jo Dhal Na Pai.. 

Warna kis Chez ko Dunya Mein Zawal Nai..

Main sochta hun

Main sochta hun 
Kabi to hoga ye mojzaa b 
Wo meri khatir tamam bandhan 
Tamam rishton ko torr day ga 

Wo saray apnon ko chhor day ga 
Wo phir say pakrey ga hath mera 
Wo phir say sahara banay ga mera 
Wo apni aankhen 
Yun meri palkon say jorr day ga 

Keh meri palkon pay apnay aansoo nichor day ga 
Aisa shayad abi na hoga 
Aisa shayad kabi na ho ga..

Hum Ko Khushi Miley Bhi To Kahan Rakhein Gay..

Hum Ko Khushi Miley Bhi To Kahan Rakhein Gay.. 

Aankhon Mein Hasratein Aur Dil Mein Tum Hi Tum..

Hai W0h Shakhs Meray Ghar Ke Andheron Ka Sabab..

Hai W0h Shakhs Meray Ghar Ke Andheron Ka Sabab..
Hai W0h Shakhs Meray Ghar Ke Andheron Ka Sabab.. 

jis Ki Raahon Mein 
Diye Ban Ke jalla H0on BarSon..

DiL Abi Poori Tarh Toota Nhi Janab..

DiL Abi Poori Tarh Toota Nhi Janab..
DiL Abi Poori Tarh Toota Nhi Janab.. 

Aap Ki Zara Or 
Mehrbani Chahiye..

Wo Ik Naayaab KhiloNa Hay.

Wo Ik Naayaab KhiloNa Hay.
Wo Ik Naayaab KhiloNa Hay. 

Aur May Ik GhaReeb Bacha..

The best view comes

The best view comes after the hardest climb.

Terey KhuwaB Mein Hi Guzar Gai..

Terey KhuwaB Mein Hi Guzar Gai..
Terey KhuwaB Mein Hi Guzar Gai.. 

Woh J0 Umar THi 
Barry Kaam Ki..

Agar Zindagi itni hi Achiiii H0ti..

Agar Zindagi itni hi Achiiii H0ti..
Agar Zindagi itni hi 
Achiiii H0ti.. 

T0 K0i Bhi Duniya Mein R0ty Huwy Na Aata..

Jatay jatay Palat kar Us nay..

Jatay jatay Palat kar Us nay..
Jatay jatay Palat kar Us nay.. 
Faqat Etna kaha mujh Say 

Meri bewafai Say hi marr jaO gay Ya Maar k ja0n..

It is better to walk al0ne than with a crowd

It is better to walk al0ne than with a crowd 
going in the worng direction. 
By. Diane grant

Tere Aane Na Aane Ka Guman Rehne Nahi Do'n Ga,

Tere Aane Na Aane Ka Guman Rehne Nahi Do'n Ga,
Tere Aane Na Aane Ka Guman Rehne Nahi Do'n Ga, 
Ziyada Dair Main Ye Imtihan Rehne Nahi Don Ga. 

Main Tere Bad Dil Me Har Tarah Ka Rog Palon Ga, 
Main Tere Bad Khushyon Ka Samaan Rehne Nahi Don Ga. 

Main Khud Hi Kaat Dalon Ga Apahij Ungliyan Apni, 
Main Be-Basi Ka Ye Nishan Rehne Nahi Don Ga.

Zor chalta jo nahi dekhta insaan apna

Zor chalta jo nahi dekhta insaan apna 
Chaak kar leta hai wehshat mein garebaan apna. 

Hosla dil mein hai mazboot hai imaan apna 
Kya bigaare gi bhala gerdish e dauraan apna. 

Aafaten chhupti phiren gosha e gumnaami mein 
Us ki rehmat jo kushaada kare damaan apna. 

Dost se dosti dushman se rawadaari ho 
Sulh e kul raah e amal ay dil e naadaan apna 

Jab se ik ghairat e naaheed ki dekhi hai jhalak 
Dil usi waqt se rehta hai ghazal khuwaan apna. 

Raah mein aap ki hum phool bichhaate hi rahe 
Aur kaanton mein ulajhta raha damaan apna. 

Husn un ka hai shabaab un ka bahaaren un ki 
Haath apna hai junoon apna garebaan apna. 

Saare tadbeer k faanoos chatakh jaen ge 
Bujh hi jaye ga charagh e teh e daamaan apna. 

Kya sada uthti hai ab dil se khuda khair kare 
Chhairne ko hai koi taar e rag e jaan apna. 

Din ba din qeemat e insaan giri jaati hai 
Khoon afsoas huwa jata hai arzaan apna 

Mere ajdad mein hain Shedaai o khasta Ahsan 
In charaghon hi se roshan hai qalamdaan apna.

Ishq aur ishq k aadab ka kya karna hai

Ishq aur ishq k aadab ka kya karna hai
Ishq aur ishq k aadab ka kya karna hai 
TU nahi hai to kisi khuwaab ka kya karna hai. 

Jab tera naam mere naam k saath aaya nahi Harf ka lafz ka aarab ka kya karna hai. 

Ek Yahi chadar e hijran mujhe de kar us ne Keh 
k rukhsat kiya asbaab ka kya karna hai. 

Ab samundar hai na par hain na shab e chaar daham 
Ab teri aankh k mahtab ka kya karna hai. 

Katarnein ranj ki saanson mein girah Dalti hain 
Umar k resha o kam khuwaab ka kya karna hai.

Dil main muhabbat ka hona zaroori haI.

Dil main muhabbat ka hona zaroori haI.
Dil main muhabbat ka hona zaroori haI. 

warna message to mujay Jazz walay b kartay hain.

Soye kahan thay

Soye kahan thay
Soye kahan thay 

ankh0n ne takiye hi bhigoye thay

Huuron se keh do wo kisi gumaan me na rahain..

Huuron se keh do wo kisi gumaan me na rahain.. 

Wo farshh pe bhi mera hai,or arshh pe bhi mera hai

Maut k saamne kharri hoon main

Maut k saamne kharri hoon main 
Umer ki aakhri gharri hoon main 

Takht e aflaak tak nahi pohnchi 
Kaise aalam mein aa parri hoon main 

Naachta hai wo rizq sarrakon par 
Jis ki khaatir bahut larri hoon main 

Khud ko taskheer kar liya main ne 
Ab teri zaat mein gharri hoon main 

Saaat e wasl kuch khayaal to kar 
Tujh se to umr mein barri hoon main 

Main to bargad ki Thandi chhaon hoon 
Dhoop ki tarah kab karri hoon main

Hawa jab zard patton ko juda shakhon say karti hai

Hawa jab zard patton ko juda shakhon say karti hai
Hawa jab zard patton ko juda shakhon say karti hai 

Mujhe tujh se bichar jana boht he yaad ata hai

Is Ko Kya H0slaa Nahi Kehte..

Is Ko Kya H0slaa Nahi Kehte..
Is Ko Kya H0slaa Nahi Kehte.. 

Tujh Ko Dil Se Bhula Diya Main Ne..

Nazren Sab Kuch Bata Deti Hain..

Nazren Sab Kuch Bata Deti Hain..
Nazren Sab Kuch Bata Deti Hain.. 

Hasraten Bhi Nafraten Bhii..

Suno Is dil ko TUM hi rakh lo..

Suno Is dil ko TUM hi rakh lo..
Suno Is dil ko TUM hi rakh lo.. 

isaY Tumhari hi fikar rehti hai..

Bohat dushwar hota hai kisi ko yun bhula daina

Bohat dushwar hota hai kisi ko yun bhula daina
Bohat dushwar hota hai kisi ko yun bhula daina 

k jab woh jazb ho jaye ragon mein khoon ki maanind.

Ruthay raho gay kab tak Ab maan bhi jao..

Ruthay raho gay kab tak Ab maan bhi jao..
Ruthay raho gay kab tak Ab maan bhi jao.. 

Dard e hijraan saho gay kab tak. 
Ab maan bhi jao. 
Ye bezubaan churiyaan roti hain kalaai mei. 
Ab gumnaam ansu saho gay kab tak. 
Ab maan bhi jao. 

Tujhay tujh se chinti 
mera bAss jo chalta. 
Tum khud k raho gAy kab tak. 
Ab maan bhi jao. 
Uth uth k raaton mei tujhay manga hai me ne 
Dekhna ay beparwah... 
Pohanch hi jayen ge ye duayen RAB tak 
ab maan bhi jao 
maan bhi jao.. 
Poet: Ayesha Haseeb

Waqt Buht Zalim Hai..

Waqt Buht Zalim Hai.. 
Lekin Aik Khoobi Bhi Hai 
Ye Jaisa Bhi Guzar Jata Hai.

Unka Bhar0sa Mat Karo Jinka Khayal WaQt Ke Saath Badal Jaye..

Unka Bhar0sa Mat 
Karo Jinka Khayal 
WaQt Ke Saath Badal Jaye.. 

Bhar0sa Unka Karo Jinka Khayal Wesey 
Hi Rahy Jab Apka 
WaQt Badal Jaye..

Bohat saffak ho tum bhi Mohabbat aise kartay ho..

Bohat saffak ho tum bhi Mohabbat aise kartay ho..
Bohat saffak ho tum bhi Mohabbat aise kartay ho.. 

Ke jesay ghar ke pinjray me Parinda paal rakha ho..

Muddat hO Gai Phir Wo Manzar Nai Daikha.

Muddat hO Gai Phir Wo Manzar Nai Daikha.
Muddat hO Gai Phir Wo Manzar Nai Daikha. 

Ik Chand Nikalta Tha Kbii Raat Sey PehleY.

Tumhare bin nahi rehna mujhe tum se mohabbat hay

Tumhare bin nahi rehna mujhe tum se mohabbat hay
Tumhare bin nahi rehna mujhe tum se mohabbat hay 
hay tum se bas yahi kehna mujhe tum se mohabbat hay 

zuban to keh nhi sakti tumhen ehsaas to hoga 
meri aankhon ko parh lena mujhe tum se mohabbat hay 

Tumhare naam kardi hay ye poori zindagi APNI 
Bhalay hi dukh parey sehna mujhe tum se mohabbat hay 

Hamen ehsaas hay tum ko bhi hum se pyar hay LEKIN
YE MERE SAAMNE KEHNA mujhe tum se mohabbat hay

Monday 27 July 2015

Dil bhi gustakh ho chala tha mera..

Dil bhi gustakh ho chala tha mera..
Dil bhi gustakh ho chala tha mera.. 

Shukar he aap be wafaa niklay..

Mujhe pagaL jis nay karna ho..

Mujhe pagaL jis nay karna ho..
Mujhe pagaL jis nay karna ho.. 

wo batein teri karta hai..

Meri Baaton Se Meri Yaadon Tak..

Meri Baaton Se Meri Yaadon Tak.. 

Hisab Ker K Dekho Be Hisaab Ho Tum.

Tum Zindagi Ki Wo Kami Ho..

Tum Zindagi Ki Wo Kami Ho..
Tum Zindagi Ki Wo Kami Ho.. 

Jo Zindagi Bhar Raho Gay..

Fikar To Teri Aaj Bhi Karte Hein.

Fikar To Teri Aaj Bhi Karte Hein.
Fikar To Teri Aaj Bhi Karte Hein. 

Bas Zikar Karne Ka Haq Nahi Raha.

Main Bhejta Raha Hoon Usay Khali khat

Main Bhejta Raha Hoon Usay Khali khat 

Wo Shaks Kahen Mera Pata Bhool Na Jaye

KABHI TUM BHI NAZAR AO

KABHI TUM BHI NAZAR AO
KABHI TUM BHI NAZAR AO 

YaQeen mano 
Suba se sham tak hUm ko 
Bohat se log miltay hain 
Nigahon se guzrtay hain 
Koi andaz tum jaise 

Koi hum naam tum jaise 
Kisi ki Ankhen tum jaisi 
Kisi ki baten tm jaisi 
Magar tum hi nahi miltay 

YaQeen mano 
Bohat bechain phirtay hain 
Baray betab rehtay hain 
Dua ko hath uthtay hain 

Dua me yehi kehtay hain 
Lagi hai bheer logon ki 
Magar is bheer me hm ko 
KABI TUM B NAZAR AO

Ab Shoq E Safar Khwahish E Yakjaai Bohot Hai

Ab Shoq E Safar Khwahish E Yakjaai Bohot Hai
Ab Shoq E Safar Khwahish E Yakjaai Bohot Hai 
Dushman Hi Milay Raah Me Tanhai Bohot 
Hai 

Ham Kon Say GHALIB Thay K Shohrat Hamen Milti 
Dunya Teri Itni Bhi Pazeerai Bohot Hai 

Logon Say Taarruf Na Koi Jaan Na Pehchan 
Dil Hai K Usi Bazm Ka Shaidai Bohot Hai 

Galiyon Me Mager Koi Dareecha Nahi Khulta 
Aapas Me Yahan Shor E Shanasai Bohot Hai 

Shaamien meri Veeraan han Barsaat Mein 
MOHSIN 
Kehny Ko Bhara Sheher Hai Tanhai Bohot Hai..

Kab Dard K Maaron Ko Sakun Hota Hai

Kab Dard K Maaron Ko Sakun Hota Hai 
Mohsin 
Jab Ishq Nahi Hota Junoon Hota Hai 
Mohsin 

Be Kas Faqeeron Se Nahi Pochta Koi 
Kis Tarah Tamanaon Ka Khoon Hota Hai Mohsin, 

Ye Ishq Jo Apna Humein Honay Nahi Deta 
Ye Ishq B Hota Hai To Kiun Hota Hai 
Mohsin 

Har Raat Charaghon Ki Tarah Jalti Hain Aankhain 
Kya Koi Chala Jaaye To Yon Hota Hai Mohsin..

Mooam Ki Tarha Pighltey Howe Dekha Usko

Mooam Ki Tarha Pighltey Howe Dekha Usko 
Rut Jo Badli To Badaltey Hoowe Dekha Usko 

Jane Kis Gham Ko Chupaane Ki Tamana Hai Use 
Aaj Har Baat Par Hanstey Howe Dekha Usko 

Wo Jo Kanton Ko Bhi Narmi Se Chua Karta Tha 
Hum Ny Phoolon Ko Masaltey Hoowe Dekha UsKo 

Na Jaane Wo Duaon Main Mangta Hai Kisse 
Haath Uthate Hi Rootey Hoowe Dekha Usko 

Tab Hath Dua Ke Liye Uthaaye Hum Nay 
Jab Muqaddar Say Ulajhtey Hoowe Dekha Usko..

Mai ne kab dard k zakhmo se shikayat ki hai..

Mai ne kab dard k zakhmo se shikayat ki hai.. 
Han mera jurm hai k mai ne mohabat ki hai.. 

Aaj phir dekha hai usey mehfil mai pathar ban kar.. 
Mai ne aankho se nahi dil se baghawat ki hai.. 

Usko bhul jane ki ghalti bhi nahi kr sakte.. 
Toot kar ki hai to sirf usi se mohabat ki hai.

Zameen ki waqalat nhi chalti..

Zameen ki waqalat nhi chalti..
Zameen ki waqalat nhi chalti.. 

jab asman say faislay utratay hain..

Log kehtay hain usay bhool Kar nayi zindagi shoru kar..

Log kehtay hain usay bhool Kar nayi zindagi shoru kar..
Log kehtay hain usay bhool Kar nayi zindagi shoru kar.. 

wo Rooh par qabiz hay kisi aur ka honay nahe deta..

Akele pan me bigri Hay adatain meri..

Akele pan me bigri Hay adatain meri.. 

wo lot aiay tu mumkin hy sudhar jaun main

Naa Cher Qissa Wo Ulfat Ka Bari Lambi Kahani Hai

Naa Cher Qissa Wo Ulfat Ka Bari Lambi Kahani Hai
Naa Cher Qissa Wo Ulfat Ka Bari Lambi Kahani Hai 

Main Zindagi Se Nahi Haara Bas Kisi Apne Ki Meharbani Hai,,

Dasht o Darya say guzarna ho ghar mein rehna

Dasht o Darya say guzarna ho ghar mein rehna
Dasht o Darya say guzarna ho ghar mein rehna 
Ab to har hal me hay humko safar me rehna 

Dil ko har pal kisi jadu k asar me rehna 
Khud say niklay to kisi or k dar me rehna 

Sheher e Gham Dekh Teri Aab o Hawa khushk na ho 
Ras ata hay usay Deeda e Tar me rehna 

FesLay saray usi k hain hamari Babat 
Ikhtyar apna bas itna k khabar me rehna 

Koi khatir na madarat na TaQreeb e wisaL 
Hum to bas chahtay hain teri nazar me rehna 

Rat bhar chand me dekha karon surat uski 
Subha ko or hi soda meray sar me rehna 

Main to har chehray me ab tak wohi chehra dekhon 
Usko har roz tamasha e Dagar me rehna 

Tootna yon to muQaddar hay magar kuch Lamhay 
PhooL ki tarah Muyassar ho shajar me rehna 

Har muLaQat k bad Ajnbiyat or barhi 
Usko Ayeiny hamen Zom e Hunar me rehna 

Chand ki akhri Raton me bohat Lazim hay 
Aik Mati ka diya Rah Guzar Me rehna 

Tayir e Jan k Guzarnay say bara saneha hay 
ShoQ e parwaz ka tootay huway Par mein Rehna..

B0hat Muddat Ke Baad Kal Shab

B0hat Muddat Ke Baad Kal Shab 
Kitaab e Maazi K0 Hum Ne Khola 

B0hat Se Chehray Nazar Mein Utray.. 
Bohat Se Naamon Pe Dil Paseja 

Ek Aisa Safha Bhi Us Mein Aaya 
Ke Jis Ka Unwaan Hum safar Tha 

Kuch Aur AanS0o Phir Us Pe Tapkay 
Phir Us Se Aagay Hum Parh Na Paaye 

Kitaab e Maazi Ko Band Kar Ke 
Tumhari Yaad0n Mein Kho Gaye Hum 

Agar Tum Miltey To Kaisa Lagta 
In Khayalon Mein So Gaye Hum..

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...