Wednesday 29 July 2015

Zor chalta jo nahi dekhta insaan apna

Zor chalta jo nahi dekhta insaan apna 
Chaak kar leta hai wehshat mein garebaan apna. 

Hosla dil mein hai mazboot hai imaan apna 
Kya bigaare gi bhala gerdish e dauraan apna. 

Aafaten chhupti phiren gosha e gumnaami mein 
Us ki rehmat jo kushaada kare damaan apna. 

Dost se dosti dushman se rawadaari ho 
Sulh e kul raah e amal ay dil e naadaan apna 

Jab se ik ghairat e naaheed ki dekhi hai jhalak 
Dil usi waqt se rehta hai ghazal khuwaan apna. 

Raah mein aap ki hum phool bichhaate hi rahe 
Aur kaanton mein ulajhta raha damaan apna. 

Husn un ka hai shabaab un ka bahaaren un ki 
Haath apna hai junoon apna garebaan apna. 

Saare tadbeer k faanoos chatakh jaen ge 
Bujh hi jaye ga charagh e teh e daamaan apna. 

Kya sada uthti hai ab dil se khuda khair kare 
Chhairne ko hai koi taar e rag e jaan apna. 

Din ba din qeemat e insaan giri jaati hai 
Khoon afsoas huwa jata hai arzaan apna 

Mere ajdad mein hain Shedaai o khasta Ahsan 
In charaghon hi se roshan hai qalamdaan apna.


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...