Thursday 23 July 2015

Mil he jaye ga kahein DiL ko yaQeen rehta hai

Mil he jaye ga kahein DiL ko yaQeen rehta hai
Mil he jaye ga kahein DiL ko yaQeen rehta hai 
Wo is shehar ki galiyon mein kahein rehta hai 

Ik zamana tha k sab aik jagah rehty thay 
Or ab koi kahein koi kahein rehta hai 

Jis ki saanson say muattar thy dar o Baam teray 
Aey Makaan BoL kahan ab wo makeen rehta hai 

Roz milnay pay bhi lagta hai k jagg beet gaye 
IshQ mein waQt ka ehsaas nahi rehta hai 

DiL Fasurdah to huwa dekh k usko lekin 
Umar bhar kon jawaan Kon haseen rehta hai..


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...