Tuesday 28 April 2015

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho
Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho..

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar

Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar
Phoot Ker Rone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum..

Khud ko Bekarar Karna Chhor Diya

Khud ko Bekarar Karna Chhor Diya
Khud ko Bekarar Karna Chhor Diya

Tujhe Apna Samajna Chhor Diya 

Ja Patthar DiL Ji Le Apni Zindgi 

Hamne Ab Tera Intzar Karna Chhor Diya..!!

Kabhi use bhulana chaha,

Kabhi use bhulana chaha,
Kabhi use bhulana chaha, 
Kabhi use manana chaha, 

maine jab bhi chaha sirf use chaha, 

na jane kya bat thi mere aasuo mein.. 
jo usne muje sirf aur sirf rulana chaha!

Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya

Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya
Zindagi ne kuch is tarah ka rukh liya,

Jisne jis taraf chaha mor diya, 

Jisko jitni thi zaroorat saath chala, 

Aur phir ek lamhe mein tanha chhor diya.

Zakhm mera hai dard mujko hota hai,

Zakhm mera hai dard mujko hota hai,
Zakhm mera hai dard mujko hota hai, 

Is zamane me kon kis ka hota hai, 

unhe neend nahi aati jo pyar karta hai,

par jo dil ko torta hai woh chain se sota hai..

Kitna pyaar karte hum unse,

Kitna pyaar karte hum unse,
Kitna pyaar karte hum unse, 

Kaash unhe bhi ye ehsas ho jaye, 

Kahi aisa na ho ki woh hosh mein tab aaye 

Jab hum KISI AUR ke ho jayein.

Dil ke kehne pe dil ki DUNIYA chhor aaye..

Dil ke kehne pe dil ki DUNIYA chhor aaye.. 

Sabhi RISHTO se muh mor aaye..

Humne na manga hisab WAFA ka yaaro… 

Unki CHAHAT mein na jane kitno ke dil Tor aaye..

Qadmon se Uski Yaad Ki khushboo Lipat Gai..

Qadmon se Uski Yaad Ki khushboo Lipat Gai..
Us K Baghair Agarchy Meri Umr katt Gai,

Lekin Hayaat kitnay Anasir Mein Batt Gai..

Main Ne Usay khareed Liya Chahaton k Bhao,

Phir Yoon Hua K Qeemat-E-Bazaar Ghat Gai..

Bethi Hui Thi Oot Mein khuwabon ki Chandni,

Main Dekhny Laga To Dareechy Se Hatt Gai..

Logon Ne Meri Shakal K Tukray Utha Liye,

Tasveer Mery Chahnay Waalon Mein Batt Gai..

Ghar Chorny Ka Jab Bhi Irada kiya 
Qateel !

Qadmon se Uski Yaad Ki khushboo Lipat Gai...

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsaat Wasi..

H0ti H0 Gi Mere B00Sey Ki Talab Mai Paagal

H0ti H0 Gi Mere B00Sey Ki Talab Mai Paagal

H0ti H0 Gi Mere B00Sey Ki Talab Mai Paagal
Jab Bhi Zulf0'n Mai K0i Ph00L Sajaati H0 Gi..

uski aankhe saval karti h.....

uski aankhe saval karti h.....

uski aankhe saval karti h.....
or meri himmat javab deti h....

Main nE izhaar to kiya Hi Nahi..


Main nE izhaar to kiya Hi Nahi..


Us Ne Aankh0on Ko Parh Liya hoga..

Sirf bewafa likha

Ab ke uss ki ankhon main
Be-sabab udaasi thi
Ab ke uss ke chehre pr
Dukh tha, be-hawaasi thi

Ab ke yuun mila mujhse
Yuun ghazal suni jese
Main bhi na-shanaasa hoon
Woh bhi ajnabi jese

Zard haal-o-hadh us ke
Sogwaar daaman tha
Ab ke uss ke lehje mein
Kitna khurdraa-pan tha

Woh ke umar bhar jis ne
Sheher bhar ke logon mein
Mujh ko hum-sukhan jaana
Khud sa meherbaan samjha
Mujh ko dilrubaa likha
Ab ke saada kaghaz pr
Surkhh roshnaayi se
Uss ne talkhh lehje mein
Mere naam se pehle

Sirf bewafa likha
Sirf bewafaa likhaa..

Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,



Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,
Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka...

Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy,
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka...!!

Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hy,
Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka...!!

Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,
Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka...!!

Doston sy 'WASI' agar tumhain muhabbat hy,
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka.,,!!

Koi MisaaL Zamanay Mein Aisi dekhi Hai..


Koi MisaaL Zamanay Mein Aisi dekhi Hai..

Mein Jee Rahi Hon magar diL Ne Khudkushi Kar Li

Ab to mumkin he ni un sy m0lakat Wasi! .

Ab to mumkin he ni un sy m0lakat Wasi! .
Ab to uro0j py ph0nchi ha un ki zaat Wasi! . . 

Ik wo wakt tha k s0chty thy hm aik d0sry ko! . . 
Ab to milty he ni d0n0n k kayalat Wasi!

Monday 27 April 2015

Apni khushian luta kr us pe qurban ho jaun.

Apni khushian luta kr us pe qurban ho jaun.
Apni khushian luta kr us pe qurban ho jaun.

Kash kuch din is shehr mein mehman ho jaun.

Wo apna nayab dil mujko de de or phr mange.

Main mukr jaun or bayeman ho jaun.

Wo mujh pr sitam kre hr kisi ki tran.

Main is ada pr b mehrban ho jaun.

Wo mere paon k nche se zmen khench le.

Or phr main uska asman ho jaun.

Ab to mujko us se itni muhbt ho gai hy. "wasi"

KHUDA kre koi mojza ho'or main us k naam ho jaun.....

Friday 24 April 2015

Zra Pane Ki Chahat Main, Boht Kuch Choot Jata Hai,

Zra Pane Ki Chahat Main, Boht Kuch Choot Jata Hai,

Zra Pane Ki Chahat Main,
Boht Kuch Choot Jata Hai,


Na Jane Sabr Ka Dhaga,
Kahan Par Toot Jata Hai,


Kise Hamrah Kehte Ho,
Yahan To Apna Saya Bhi


Kahin Par Saath Rehta Hai,
Kahin Par Choot Jata Hai,


Ajab Shay Hai Ye Rishta Bhi
Bahut Mazboot Lagta Hai,


Zara Si Bhool Se Lekn,
Bharosa Toot Jata Ha...

Thursday 23 April 2015

Suno tum lot aao na

Suno tum lot aao na
Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na
Woh dekho chand nikla hai
Sitare jagmagate hai
Hamari muntazir aankhain
Dua mangti aankhain
Tum ko hi sochti aankhain
Tum ko hi dhondti aankhain
Tum ko wapis bolati hain
Ye dil jab bhi dharakta hai
Tumhara naam leta hai
Ye aansu jab bhi behte hain
Tumhare dukh me behte hain
Ye barish jab bhi hoti hai
Tumhari yaad aati hai
Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,


Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,
Wo Ghairon Se Mil Kar Mujhe Tabha Karta Raha,

Main Ne Jis K Liye Apno Ko Chora,
Wo Kisi Aur Se Wada-E-Wafa Karta Raha,

Main Ne Jis K Liye Jeene Ki Duain Mangi,
Wo Mere Marne Ki Dua Karta Raha.

bewafa larka

bewafalarka1.blogspot.com
bewafalarka


itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.

uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!

sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna.

Tuesday 21 April 2015

kia sitam hay kay ab tere sorat

kia sitam hay kay ab tere sorat

kia sitam hay kay ab tere sorat 
ghour karnay pay yad aate hay

Thursday 16 April 2015

Yahi Manzar Thay Anjaanay Se Pehlay

Yahi Manzar Thay Anjaanay Se Pehlay

Yahi Manzar Thay Anjaanay Se Pehlay
Tumhaaray Shehar Main Aanay Se Pehlay



Zameen Ki Dharkanen Pehchaan Lena
Koi Dewaar Banwaanay Se Pehlay

Palat Kar Kiyon Mujhe Sab Dekhtay Hain
Tumhaara Zikar Farmaanay Se Pehlay



Na-Jaanay Kitni Aankhen Muntazir Theen
Sitaaray Baam Par Aanay Se Pehlay



Dareechay Band Ho Jaatay Hain Kitnay
Yahaan Manzar Badal Jaanay Se Pehlay

Tuesday 14 April 2015

Jo "Gehri" Neend Sotay hain, "Muhabat" kar nahi Skty

Jo "Gehri" Neend Sotay hain, "Muhabat" kar nahi Skty

Jo "Gehri" Neend Sotay hain, "Muhabat" kar nahi Skty

Sakoon itna Kahaan Hasil!! Muhabat Krny Walon ko.....

phir wohi aakhri manzr hai meri aankhon mein,

phir wohi aakhri manzr hai meri aankhon mein,
phir wohi aakhri manzr hai meri aankhon mein,,

aaj phir shaam dhalay, tum mujhy yaad aye ho!!

Mujh Main Kya Hay Jo Mujhe Yaad Karey Ga Koi

Mujh Main Kya Hay Jo Mujhe Yaad Karey Ga Koi
Mujh Main Kya Hay Jo Mujhe Yaad Karey Ga Koi 

Achey Achon Ko Yahaan Loug Bhool Jatey hain

Bicharne waley chale jo ho to bata k jao

Bicharne waley chale jo ho to bata k jao

Bicharne waley
chale jo ho to bata k jao
k kitni shamain udaas ankhon main kaatni hain.
k kitni subhain akele pan main guzarni hain.

bata k jaao.
k kitne sooraj azaab raston ko dekhna hai
k kitne mahtaab sard raaton ki.wus'aton se nikaalne hain.

bata k jaao k chand raaton main waqt kaise guzaarna hai.
khush lamhon main tujko kitna pukaarna hai.

bata k jaao!k kitne lamhe shumaar karne hain hijraton k
k kitne mosam ik aik kar k judayon main guzarne hain.

bata k jaao k panchyon ne akele pan ka sabab jo pucha.
to kya kahun gi.

kisi ne raste main rok kar mujse ab jo pucha
k pichle mosam main saye saye jo ajnabi tha
to kaya kahun Gi.

bichar k tujse habib kis se mila karun Gi
bata k jaao! k ankh barsi to kon moti chuna karega.
udaas lamhon main dil ki dharkan suna karega.

bata k jaao!k mosamon ko pyaam dene hain ya nahin.

falak ko,taaron ko,jugnuon ko salam dene hain ya nhi.

bata k jaao! k kis pe hai aitbaar karna
to kis ki baton pe be-niazi k silsile ikhtiar karna.

bata k jao! k ab rawayon ki chal kya ho
jwab kya ho swal kya ho
uroj kya ho zawal kya ho
nigah,rukhsar,zulf,chehra nidhal kya ho
bata k jao!k meri sorat pe tergi muskura pari to
main kya karun Gi.

bata k jao k tumko kitna pukarna hai
bichar k tujse ye waqt kaise guzarna hai
badan ko kitna sanwarna hai

bicharne wale chale jo ho to bata k jao

Taharat Shart-e-Awwal Hai Wafa K Sab Usolon Main,

Taharat Shart-e-Awwal Hai Wafa K Sab Usolon Main,


Taharat Shart-e-Awwal Hai Wafa K Sab Usolon Main,
Hawas Ki Gandagi Le Kar MOhabbat Ki Nahi Jati.

MohabbaT MaIn NAhI haI SharT mILNe Ya BIcharNe kI

MohabbaT MaIn NAhI haI SharT mILNe Ya BIcharNe kI



MohabbaT MaIn NAhI haI SharT mILNe Ya BIcharNe kI

Ye In Khud Gharz LaFzOon Se BOhaT AageY kI Dunya haI

Aye bewafa......!

Aye bewafa......!

Aye bewafa......!
itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.

uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!

sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna.

Wednesday 8 April 2015

Har shaks nahi hota har shaks k qabil..

Har shaks nahi hota har shaks k qabil..

Har shaks nahi hota har shaks k qabil.. 

Har shaks ko apne liye socha nahi karte..

Tu meri umer k sumandar mein..

Tu meri umer k sumandar mein..

Tu meri umer k sumandar mein.. 

Zindagi ka Aakhri jazeera hai..

Tujh Se Bichar Kar Rote Hain

Tujh Se Bichar Kar Rote Hain



Tujh Se Bichar Kar Rote Hain 
Hay Hum Ujar Kar Rote Hain 

Jab Satati Hain Teri Yadain 
Tere Khat Parh Kar Rote Hain 

Achai Ka Sila Mila Aisa 
Ab Khud Se Lar Kar Rote Hain 

Tujh Se Nahi Hai Koi Shikwa 
Qismat Se Jaghar Kar Rote Hain 

Wo Sab Se Barh Kar Hanste Hain 
Hum Sab Se Barh Kar Rote Hain 

Tere Ye Gham Nageeno Ke Tarah 
Hum Dil Me Jur Kar Rote Hain 

Jab Bazam Me Hota Hai Zikar-E-Yaar 
Hum Dil Ko Pakar Kar Rote Hain 

Faqat Ek Ishq Kya Kar Baithe 
Ab Sooli Pe Charh Kar Rote Hain..

Hamain kab FarQ parta hai

Hamain kab FarQ parta hai



Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai 
K hum to Shaakh se tootay howay Pattay 
BohAt Arsa hua Hum ko Raggein tak Marr Chuki Dil ki 

Koi Paon talay Roundey Jalaa kar Raakh kar daalay 
Hawa k Hath par rakh kar 
Kahin bhi Phaink day Hum ko 

Sapurd e Khaak kar dalay 
Hamain ab Yad hi kab hai 
K Hum bhi Aik Mousam thay 
Kisi Gulshan ki Zeenat thay 

Kisi Tehni ki Qismat thay 
Kai Aankhon ki Rahat thay 
Ya jeewan ki Hararat thay 
Bohat Arsa howa wo khawab Sa Mousam 

Hamaray Hath se Phisla 
Ya Shayad phir Khizaan Mousam ko Hum Apna samjh bethay 
So Uss Dinn se Kisi Mousam se ab apna 
Koi Rishta nahi banta 

Kisi ki Shakh ki bahien Hamain Pehchanti kab hain.. 
Kabhi hum un ki Dharkan thay 
Yeh Shakhein Maanti kab hain..

Agar saansein mehak jaayen

Agar saansein mehak jaayen

Agar saansein mehak jaayen 
Agar Aankhein chhalak jayen 

Agar khwabon ki khwahish ho 
Agar phoolon ki barish ho 

Agar hansty huway ronay ko jee chahy akaily mein 
Agar wo dekh kar tum ko kahein kho jaye mailay mein 

Agar tum poochhny jaao k Aakhir kya HaQeeQat hai 
or 
Uska ye jawaab aye, 
Mujhy to tum sy nafrat hai 
Samajh lena muhabbat hai

Meri Sadiyaan Bigaar Di Tum Ney..

Meri Sadiyaan Bigaar Di  Tum Ney..


Meri Sadiyaan Bigaar Di  Tum Ney.. 

Apny Lamhay Sanwaarnay KeLiye..

Tujh Se Bichar Kar Rote Hain

Tujh Se Bichar Kar Rote Hain

Tujh Se Bichar Kar Rote Hain 
Hay Hum Ujar Kar Rote Hain 

Jab Satati Hain Teri Yadain 
Tere Khat Parh Kar Rote Hain 

Achai Ka Sila Mila Aisa 
Ab Khud Se Lar Kar Rote Hain 

Tujh Se Nahi Hai Koi Shikwa 
Qismat Se Jaghar Kar Rote Hain 

Wo Sab Se Barh Kar Hanste Hain 
Hum Sab Se Barh Kar Rote Hain 

Tere Ye Gham Nageeno Ke Tarah 
Hum Dil Me Jur Kar Rote Hain 

Jab Bazam Me Hota Hai Zikar-E-Yaar 
Hum Dil Ko Pakar Kar Rote Hain 

Faqat Ek Ishq Kya Kar Baithe 
Ab Sooli Pe Charh Kar Rote Hain..

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...