Guest Post

If you have poetry or sms then you're welcomed to send your poetry, we will publish your poetry on this site shortly. There are some rules regarding sending your poetry and SMS: SMS should be new and unique and should not be copied. Poetry should be attractive and should not be copied from somewhere else. Send your own poetry-sms with your name we will happily publish your poetry. You may use below sources to send us your content. Thanks for interest.


foxyform

2 comments

Meri Mashroofiyat ke Pal
Meri Khaali Tamanna Mai
Bhari Khawahish Ke Lamhon Mai
Akelepan ki Aahat Mai

Jise Mehsoos Karta Hoon
Wahi Tum Soch Ho Meri

Meri Janib Jo Mela Hai
Teri Yaadon Ka Rela Hai
Zara Socho Tumhaare Bin
Koi Kitna Akela Hai

jise Main jaan Kehta Hoon
wahi Tum Saans Ho Meri

Suno Duniya Ki Baaton Pe
Kabhi Na Faisla Karna
Suno Mujhse Bichadne Ka
Kabhi Na Honsla Karna

Mere Jine Ki Wajha Ho
Tumhi Meri Zrurat Ho

Suno Tum Meri Mohabbat Ho

Suno tum lout aao na

wo dekho chand nikla hai
sitaare jagmgaane lage hain

hamari muntazir ankhain
dua mangti hain
tumhain he sochti ankhain

tumhain he dhundti ankhain
tumhain wapis bulati hain

yeh dil jab bhi dhadkta hai
tumhara he naam leta hai

yeh ansu jab bhi behte hain
tumhare dukh main behte hain

k

barish jab bhi hoti hai
tumhain he yad karti hai

khushi koi jo aye bhi
tumhare bin adhuri hai

suno tum lout aao na
suno tum lout aao na


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...