Tuesday 30 June 2015

Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon, (Parveen Shakir), Urdu Poetry By Parveen shakir,

Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon, (Parveen Shakir), Urdu Poetry By Parveen shakir,

Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon
Gunah Kon Sa Aisa Main Yar Krti Hon,

Meri Khataon Main Meri Samjh Ka Nhi Koi Dakhl
Main Jo Bhi Krti Hon Be-Ikhtyar Krti Hon,

Tu Ktne Pyar K Qabil Hai Kya Khabar Mujh Ko
Main To Jitna B Mumkin Hai Pyar Krti Hon,

Woh Ghair Ho Ya Sajan Koi B Ho Mgr Us Say
Main Tera Tazkra Dewana War Krti Hun,

KHUDA Ki Duniya Sy Itni Mohabt Nhi Hai Shayed
KHUDA K Ek Bandy Ko Main "Jitna Pyar Krti Hon.

parvin shakir Poetry, Parveen Shakir Romantic Poetry,

parvin shakir Poetry, Parveen Shakir Romantic Poetry,

Nazar jab us se milti thi
Men khud ko bhool jata tha
Bas ik dharrkan dharrakti thi
Men DIL ko bhool jata tha
Ussay milney se pehley men boht sajta sanwrta tha.
Magar jab wo sanwarti thi
Men khud ko bhool jata tha
Men aksar kitabon pr
Usi ka nam likhta tha
Magar kuch wo jo likhti thi
Men likhna bhol jata tha
Men aksar hi ye kehta tha
Men tum se pyar krta hon
Mgr jab wo ye kehti thi
Me dunya bhol jata tha.

Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo

Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo

Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon,

Mohabbat Mar Chuki Ab To
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon,

Badalti Rut Ki Wajah Se Tabiat Kuch Bojhal Si Hai
Youn Mera Haal Mat Poocho,

Main Us Ko Bhool Kar khush Hon
Mere Lehjay Par Mat Chonko,

Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Youn Hairat Se Na Dekho Main,

Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Tumhain Kia Weham Hai,

Kion Rat Bhar Milne Nahi Aati
Aaye Meri Neend Ki Pario Mein,

Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Bhala Kion Roz Banhain,

Wahan Kion Mujh Se Milne Aati Hai
Tum Us Ki Yad Se Keh Do,

Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Udasi Sare Ghar Mein Phailti Jati Hai Gham Ban Kar,

Dar-o-Deewar Pe Likh Do
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon.

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Best Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Best Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee
Jaisii Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisii tou Na thee,

Le gaya Chhiin Ke aaj kaun tera sabr-o-qarar
Beqarai tujhe ai dil kabhi aisii tou na thee,

Un kii aankhon ne khuda jaane kia kya jaadu
Ke tabiyat meri maa_il Kabhi aisi tou na thee,

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii,

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujh ko chamakayaa
taab mein maah-e-kaamil kabhi aisis tou na thee,

Kya sabab hai tu jo bigata hai zafar se har baar
Khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi tou na thee.


English Translation of ( Baat karni )

It was never so difficult for me to converse as it is now
Your party never was like this as it is now,

Who has usurped you patience and peace
You never were as restless as you are now,

Her eyes, my lord, cast what a spell on me
I never was as intoxicated as I am now,

Those killer eyes were always my enemy
but never were as fatal as it is now,

What has made the face of beloved bright?
Shine in you, O Moon, never was as it is now,

What is the reason that you are annoyed with ‘Zafar’
Your habit, O blazing fairy, never was like as it is now,

Koi raat poonam to koi hai amavas,

Koi raat poonam to koi hai amavas,

Koi raat poonam to koi hai amavas
Chandani uski jo chand pana seekh le,

Yun to sabhi aaye hain rote huye jahan me
Par sara jahan hai uska jo muskurana seekh le,

Kuchh bhi najar na aaye andheron me rah kar
Roshni hai uski jo shama jalana seekh le,

Har gali me mandir, har raah me maszid hai
Par khuda hai uska jo sar jhukana seekh le,

Har seene me dil, har dil me pyar hai
Pyar milta hai usko jo dil lagana seekh le,

Logo ka kafila usi ke saath hota hai
Jo sachche dil se rishte nibahana seekh le,

Khushi ki talash me zindagi guzar jati hai
Par khushiyan unhi ko milti hain jo doosre ke gam mitana seekh le.

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho
Merey He Dil Mei Utar Gye Ho,

Kis Ki Chahat Ka Ye Asar Hy
Ke Raiza Raiza Bikhar Gye Ho,

Tum Hi To Ho Jo Hamary Dil Ki
HadoN Ko Chu Kr Guzar Gye Ho,

Hamara Thaamo Ge Haath Kia Tm
Abhi Se Dunya Se Dar Gye Ho,

Chaley Gye Ho Nazar Jhuka K
Humein Deewana Sa Kr Gye Ho,

Bhool Bethy Ho Ehed Saary
Abhi Se Kiu Tm Mukr Gye Ho,

Dhoondtee Hy Nazar Ye Tm Ko
Aa Bhi Jaao Kidhr Gye Ho.

Noshi gilani, Noshi Gelani Poetry, Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de,

Noshi gilani, Noshi Gelani Poetry, Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de,

Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de
Mere bazoo mmeri aankhen mera chehra la de,

Aesa darya jo kisi aur samandar mein girey
Is se behtar hai ke mujhko mera Sehra la de,

Kuch nahin chahiye tuhj se ae meri umre rawan
Mera bachpan mera jugnoo meri Gurya la de,

Nayya mosam meri beenai ko tasleem nahi
Meri aankhon ko wahi khwab purana la de,

Jiski aankhen mujhe andar se bhi parh sakti ho
koi chehra to mere sheher mein aesa la de,

Kashti e jan to bhanwar mein hai kai barson se
Ae khuda ab to dubo de ya kinara la de.

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
Tu to is basti se khush khush chala gaya, or mein,

Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein,

Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein,

Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai
Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein,

Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah
Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein,

Aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine
Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein.

Apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy


Apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy
Lamha lamha mujhe ehsas-e-ziyan hota hy,

Koi hota hy jo karta hy kahin pay sazish
Ter ki pusht pay qirdar-e-kaman hota hy,

Bhool jana usay muskil tu nahi hy laykin
Kam assan bhi magar hum say kahan hota hy,

Main nay dekha hy kisi khuf ka khadsha dil main
Raat k pechlay pehar barh kay jawan hota hy,

Dil main hoti hy baharon ki kasak bhi laykin
Es k hisay main magar khuf-e-khizan hota hy.




best Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, 
Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,

Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle


Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo


Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,

Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,

Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,

Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,

Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo.

Us Ka To Har Andaaz Nirala Sa Lagta Hai


Us Ka To Har Andaaz Nirala Sa Lagta Hai
Qatil Hai Mera Aur Masiha Sa Lagta Hai,

Wo Jis Se Koi Khaas Ta’aruf Bhi Nahi Hai
Jub Bhi Nazar Aa jaye to Apna Sa Lagta Hai,

Hum UsKe Bina Jaise Mukammal Hi Nahi
Jo Kaam Bhi Karte Hai Adhura Sa Lagta Hai,

Main UsKi Har ek Baat Ko Kis Tarha Na Manoon
Wo Jhoot Bhi Bole To Sachcha Sa Lagta Hai,

Ek Umar Hui Toote Hue Dil Ko Hamare
Ye Zakhm Magar Aaj Bhi Kal Ka Sa Lagta Hai,

Itni Si Khata Par Keh Tera Naam Liya Tha
Har Shaks Mere Khoon Ka Pyasa Sa Lagta Hai.

Tera kasoor nahi mera tha


Tera kasoor nahi mera tha
Maine tujhko apna samjha tha,

Dekh ke tere badle tewar
Main to usi din ro beitha tha,

Ab main samjha ab yaad aaya
Tu us din kyo chup chaap sa tha,

Tujhko jaana hi tha lekin
Mile bagair hi kya jaana tha,

Ab tujhe kya kya yaad dilaoon
Ab to woh sub kuchh hi dhoka tha,

Wohi hui hai jo honi thi
Wohi mila hai jo likha tha,

Dil ko yun hi sa ranj hai warna
Tera mera saath hi kya tha,

Kis kis baat ko raoon AMIT
Apna kehna hi itna tha.

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Skay Main Wo Aik Musht-e Ghubar Hon,

Mera Rang Rop Bigar Gya, Mera Yar Muj Se Bichar Gaya
Jo Chaman Khazan Se Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasal-e Bahar Hoon,

Na To Main Kisi Ka Habib Hon,Jo Jur Gya Wo Dyar Hoon
Pye Fatih Koi Aye Kun, Koi Char Phol Charhaye Kun,

Koi Aa Ke Shama Jalaye Kun Main Wo Be Kasi Ka Mazar Hoon
Main Nahin Hoon Nagma-e Janfran, Muje Sun Ke Koi Kare Ga Kiya
Main Baray Brog Ki Hoon Sada Main Bare Dukhi Ki Pukaar Hoon.



Bahadur Shah Zafar, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Sms, 

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De


Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.

Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha

Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha
Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha
Chehra Wohi Tha Chehra Ka Libas Wohi Tha,

Kese Us Ko Bewafa Keh Doon Yaro
Aaj Be Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha.



best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu New Poetry, 
Urdu Sms, Urdu Image Poetry, 

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise, Urdu Ghazal, Heart Touching Poetry, best Urdu Ghazal, Sad Poetry, Sad Sms, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise,

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise,

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise,

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise.


Urdu Ghazal, Heart Touching Poetry, best Urdu Ghazal,
Sad Poetry, Sad Sms, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, 

Dard ki wardaat hy pyaray, Best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Sad Poetry, Urdu Sms, Urdu Poetry,

Dard ki wardaat hy pyaray, Best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Sad Poetry, Urdu Sms, Urdu Poetry,

Dard ki wardaat hy pyaray
dastaan e hayaat hy pyaray,

teri aankhon ka bhi kia bharosa
aalam e hadsaat hy pyaray,

kon is silsalay ko khatam karay
teri zulfoon ki bat hy pyaray,

aankh ki har haseen nadani!
ronq e kainaat hy pyaray,

subha e mehsher tuo aa hi jaey gi
raat khatam hony ki bat hy pyaray,

zindagi ky sitam ko kaya kahiye
soorat e waaqiat hy pyaray,

baat sun le tuo tera bhala ho ga
dardmandon ki bat hy pyaray,

mustaqil maut ki tamana hy
arzoo e hayat pyaray,

hum addm aur bada paymaai
kehnay sun’ney ki baat hy pyaray.

Udaas Raaton Mei, December Beet Rahah Hay, December Poetry,

Udaas Raaton Mei, December Beet Rahah Hay, December Poetry,

Udaas Raaton Mei, Taiz Coffee Ki Talkhion Mei
Wo Kuch Ziada Hi Yaad Aata Hy Sardion Mei,

 Mjhe Ijazat Nahi Hai Us Ko Pukaarney Ki
Jo Goonjta Hy Lahoo Mei, Seeney Ki Dharkano Mein

Tum Apni Pouron Se Jaaney Kia Likh Gaye They Jana
Charaagh Roshan Hain Ab Bhi Meri Hatheliyon Mein,

Jo Tu Nhi Hy To Ye Mukammal Na Ho Saken Gi
Teri Yeh Ehmiyat Hy Meri Kahaniyon Mein,

Har Ek Mousam Roshni Si Bikhairty Hain
Tumhary Gham Ke Charaagh Meri Udaasiyon Mein.

Monday 29 June 2015

TaQDeeR Ka WarQa KhaLi Hai..

TaQDeeR Ka WarQa KhaLi Hai..
TaQDeeR Ka WarQa KhaLi Hai.. 

AuR HaTh BharY HaiN LaKeeR0n SaY..

Her MuLaqat Per Waqt Ka Takaza Hua

Her MuLaqat Per Waqt Ka Takaza Hua
Her MuLaqat Per Waqt Ka Takaza Hua 
Her Yaad Per Dil Ka Dard Taza Hua 

Suni Thi Sirf GhazL0n Mein Judai Ki Baaten 
Ab Khud Per Beeti To Haqiqat Ka Andaza Hua.

Na Jeet Paye Na Haar Paye.

Na Jeet Paye Na Haar Paye.
Wajood Apna Na Rooh Apni, Bas Ek TaMasha Ye ZindaGi Hai, 

Ajab Ye Chahat K MarhaLe Hain Na Jeet Paye Na Haar Paye.

Never Treat Anyone The Way

Sometimes It's Too 
Late To Make 
Things Right, 
Sometimes We Hurt 
Others More Than We 
Realize , 
Sometimes A Smile 
Fades In Front 
Of Our Eyes 
And 
Sometimes We R The Reason For 
Tears In Someone's 
Eyes. . . 
Never Treat Anyone 
The Way 
You Don't Want To Be Treated ...

Usay kehna Agar aye To sath apnay..

Usay kehna Agar aye To sath apnay..

Usay kehna Agar aye To sath apnay.. 
koi jugno koi taraa bhi lay aye.. 

k mera dil meray ghar ki tarah.. 
Tareek rehta hai.. 

As Friday Shines in the Heart of Believers..

As Friday Shines in the Heart of Believers.. 
may You be among the ones who will receive the Benefits and Blessings of Friday Prayers.. 
May ALLAH Grant You Emaan Yaqeen Sabar Rizzq e Halal and Good Health..

Apnay Zameer ki Adaalat Mein Zaroor Jaya Karo

AaJ Ki Baat 

Apnay Zameer ki Adaalat Mein Zaroor Jaya Karo 
Kiyon Ke Wahan Kabhi Ghalat Faislay Nahin Hotay.

GuLab jesi wo narm o nazuk Haseen Larrki..

GuLab jesi wo narm o nazuk Haseen Larrki..
GuLab jesi wo narm o nazuk Haseen Larrki.. 
Hamaray sapnon mein roz aye.. 
sunehry jazbon k Sainkrron wo diye JaLaaye.. 
hamaray khwabon ki har disha par.. 

Wo Apni zuLfon ki bheeni khushbu bakhair jaye.. 
Wo Tapti sochon k thar pay.. 
Sawan k badLon C barasti jaye.. 
Magar kabi samnay na aaye.. 

Wo narm o nazuk guLaab jesi haseen Larrki.. 
Hamaray jazbon ki tishnagi ko barrhati jaye.. 

Usi ki chahat Usi ki khwahish.. 
Hamari hasti mitaati jaaye..

Shayad koyi khwahish roti rehti hai..

Shayad koyi khwahish roti rehti hai..
Shayad koyi khwahish roti rehti hai.. 

Mery Andar barish Hoti Rehti hai..

Sunday 28 June 2015

Qatal.e.Aam T0 H0na Hi Hai Ab Is Shehar Me..

Qatal.e.Aam T0 H0na Hi Hai Ab Is Shehar Me..
Qatal.e.Aam T0 H0na Hi Hai Ab Is Shehar Me.. 

Jisy Dekh0 Haath Me DIL.. 
Or DIL Me Nafratein Liye Phirta Hai..

To Mujhay Pehlay Say Bata Dena..

To Mujhay Pehlay Say Bata Dena..
Aap Ko Bhi Hai Gar Dagha Dena.. 
To Mujhay Pehlay Say Bata Dena.. 

Umar Bhar Muntizar Rahon Ga Magar.. 
Aanay May Umar Na Laga Dena.. 

Pyar Ki EK Bari Nishaani Hai.. 
Waqt Be Waqt Muskura Dena.. 

Aandhiyon Ka Gharoor Rakh Lena.. 
Deep Qamzoor Sa Jala Dena.. 

Such Kahon Kya Ye Acha Lagta Hai.. 
Bad Dua Lena Bad Dua Dena.. 

Sakht Jaani Ataaye Dushman Hai.. 
Apny Rashid Ko Kya Saza Dena.. 

Kankarri Ki Faqt Ijazat Hai.. 
Eeent Say Eeent Na Baja Dena.. 

Tum Bhi Jangal Ki Hadd My Rehty Ho.. 
Aag Ko Soch Kar Hawa Dena.. 

Aik Darvesh Ny Sikhaya Mujhy.. 
Dusron Ki Sitm Bhula Dena.. 

Kal Kisi Ny Mashwaray May Kaha.. 
Qais Jab Laila Aaye Tab Jaga Dena..

Jaan Dene Ka Kuch Inaam Milay Ga K Nahi

Jaan Dene Ka Kuch Inaam Milay Ga K Nahi
Bosa.e.Zulf Siyah Faam Milay Ga K Nahi 
Dil Ka Souda hay Mujhe Daam Milay Ga K Nahi 

Khatt mein Kya Likha Hay Qasid Ko Khabar Kya UsKi 
Poochta hay Mujhe Inaam Milay Ga K Nahi 

Main Teri Mast Nazar Ka Hun Duago SaQi 
Sadqa Aankhon Ka Koi Jaam Milay Ga K Nahi 

Qabar Par Fatiha Parhne Ko Na Aayen Gay Wo Kya 
Jaan Dene Ka Kuch Inaam Milay Ga K Nahi 

Boo Kisi Simt Se Aati Nhi HamDardi Ki 
Mujh Ko Mujh Sa Koi NaKaam Milay Ga K Nahi 

JustaJu He mein Wo Lazzat Hay K ALLAH AL 
LAH 
Kyun mein Poochon Wo Dil.e.Aaram Milay Ga k Nahi 

Arzoo Marg Ki Tum Kartay Ho AKbar lekin 
Soch Lo Qabar mein Aaram Milay Ga K Nahi..

Urooj Yeh Ke Dard Ka Badshah Hon Main..

Urooj Yeh Ke Dard Ka Badshah Hon Main..
Urooj Yeh Ke Dard Ka Badshah Hon Main.. 

Zawal Yeh Ke Mera Koi Wazeer Nahi..

Na janey Kesa Imtehan he MujH Pe Aaj Kal..

Na janey Kesa Imtehan he MujH Pe Aaj Kal..
Na janey Kesa Imtehan he MujH Pe Aaj Kal.. 

K MuQaDdar MuhaBBat 0r D0st 
TeeNo UlJhay Se RehTey 
He­n..

TUMHEN SAB YAAD AYEGA

TUMHEN SAB YAAD AYEGA

kabhi jab me nahi honga 
tumhen sub yad ayega 
wo meri be karan chahat 
tumharay naam ki adat 
wo meray ishq ki shiddat 
wisaal o hijr ki lazzat 

tumhari har ada ko shayeri ka rung de dena 
khud apni khwahishon ko be basi ka rung de dena 
tumhen sub ayega 

wo meri ankh ka num bhi 
wafaon ka woh mausum bhi 
junon khaizi ka alam bhi 
meri har ek khushi ghum bhi 

mera wo muskura kar dard ko dil say laga laina 
tumhari khwab si ankhon ka har ansoo chura laina 

tumhen sub yaad ayega 
tumhari soch me rehna 
tumhari be rukhi sehna 
bhula kar ranjishain sari 
faqat APNA tumhen kehna 
tumharay naam ko tasbeeh ki surat bana laina 

tumharay zikr say dil ka har ek gosha saja laina 
abhi to muskura kar tum meri baton ko sunti ho 
magar yeh jaan lo JANA 

TUMHEN SAB YAAD AYEGA 
KABHI JO MAIN NAHI HON GA

Ghurbat Meray Zameer Ko Na Day Saki Shikasst

 Ghurbat Meray Zameer Ko Na Day Saki Shikasst
Ghurbat Meray Zameer Ko Na Day Saki Shikasst 

Jhukk Kar Kisi Ameer Say Milta Nahi Hoon Main.

Samait Kar Le Jao Apne Jhoote Wadon K Adhore Qisse..

Samait Kar Le Jao Apne Jhoote Wadon K Adhore Qisse..
Samait Kar Le Jao Apne Jhoote Wadon K Adhore Qisse..

Agli Mohabbat Me Tmhein Phir Inki Zarorat Pare Gi..

MOhabbaton Main Mila Yahi hai..

MOhabbaton Main Mila Yahi hai..
Wo Baad e Muddat K Jab Mila TO.. 
Uss Ne Pocha.. 

Ye Khushk Zulfain.. 
Ye BheeGi Palkain.. 
Ye Dasht Aankhain.. 
Ye Kaasni Lab.. 
Kidhar Ganwaye.. 

Wo Shokh Aankhain.. 
Wo Narm Batain.. 
Wo Surkh Aariz.. 
Wo Garm Saansain.. 
Wo Khil K Hansna.. 
Wo ChehChahana.. 

Kiya Hua Hai.. 
Kidhar Gaya Sab.. 

TO Me Ye Bola.. 
Muhabbaton Ka Hasool Hai Ye.. 
Aur Wafa Ka Sila Yahi Hai.. 
Lutta K Sapne.. 
Ganwa K Aankhain.. 
MOhabbaton Main Mila Yahi hai..

Dekh Itna k Nazar Lag Jaye..

Dekh Itna k Nazar Lag Jaye..
Dekh Itna k Nazar Lag Jaye.. 

Mujhe Acha Lagta Hai 
Teri NazrOn Say Mar Jana..

Tip Of The Day

Tip Of The Day
Tip Of The Day Relationships in Life are like Electric Currents.. 
Wrong connections can give You Shocks. 
But The Right ones will Light Up Your Life.

Aaina Us Ne Kai Bar Dikhaya Mujh Ko...

Aaina Us Ne Kai Bar Dikhaya Mujh Ko...
Aaina Us Ne Kai Bar Dikhaya Mujh Ko... 
Apne Hone Ka Yaqeen Phir Bhi Na Aaya Mujh Ko... 

Gungunata Hoon To Sannate Humak Uthty Hain... 
Wohi Naghma Jo Khamoshi Ne Sunaya Mujh Ko... 

Dhoop Ke Saath Mera Roop To Dhal Jaey Ga... 
Apni Soorat Pe Kahan Uss Ne Banaya Mujh Ko... 

Ishq Ke Ghaat To ik Shakhs Hi Utra, Lekin.. 
Ye Nahi Hai Ke Bas iK Chehra Hi Bhaaya Mujh Ko.. 

Mein To Sooraj Ke Taaqub Mein Rahoon Ga 
Kiun Bhala Raah Dikhaey Mera Saaya Mujh Ko.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...