Sunday 28 June 2015

TUMHEN SAB YAAD AYEGA

TUMHEN SAB YAAD AYEGA

kabhi jab me nahi honga 
tumhen sub yad ayega 
wo meri be karan chahat 
tumharay naam ki adat 
wo meray ishq ki shiddat 
wisaal o hijr ki lazzat 

tumhari har ada ko shayeri ka rung de dena 
khud apni khwahishon ko be basi ka rung de dena 
tumhen sub ayega 

wo meri ankh ka num bhi 
wafaon ka woh mausum bhi 
junon khaizi ka alam bhi 
meri har ek khushi ghum bhi 

mera wo muskura kar dard ko dil say laga laina 
tumhari khwab si ankhon ka har ansoo chura laina 

tumhen sub yaad ayega 
tumhari soch me rehna 
tumhari be rukhi sehna 
bhula kar ranjishain sari 
faqat APNA tumhen kehna 
tumharay naam ko tasbeeh ki surat bana laina 

tumharay zikr say dil ka har ek gosha saja laina 
abhi to muskura kar tum meri baton ko sunti ho 
magar yeh jaan lo JANA 

TUMHEN SAB YAAD AYEGA 
KABHI JO MAIN NAHI HON GA


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...