Tuesday 14 April 2015

Bicharne waley chale jo ho to bata k jao

Bicharne waley chale jo ho to bata k jao

Bicharne waley
chale jo ho to bata k jao
k kitni shamain udaas ankhon main kaatni hain.
k kitni subhain akele pan main guzarni hain.

bata k jaao.
k kitne sooraj azaab raston ko dekhna hai
k kitne mahtaab sard raaton ki.wus'aton se nikaalne hain.

bata k jaao k chand raaton main waqt kaise guzaarna hai.
khush lamhon main tujko kitna pukaarna hai.

bata k jaao!k kitne lamhe shumaar karne hain hijraton k
k kitne mosam ik aik kar k judayon main guzarne hain.

bata k jaao k panchyon ne akele pan ka sabab jo pucha.
to kya kahun gi.

kisi ne raste main rok kar mujse ab jo pucha
k pichle mosam main saye saye jo ajnabi tha
to kaya kahun Gi.

bichar k tujse habib kis se mila karun Gi
bata k jaao! k ankh barsi to kon moti chuna karega.
udaas lamhon main dil ki dharkan suna karega.

bata k jaao!k mosamon ko pyaam dene hain ya nahin.

falak ko,taaron ko,jugnuon ko salam dene hain ya nhi.

bata k jaao! k kis pe hai aitbaar karna
to kis ki baton pe be-niazi k silsile ikhtiar karna.

bata k jao! k ab rawayon ki chal kya ho
jwab kya ho swal kya ho
uroj kya ho zawal kya ho
nigah,rukhsar,zulf,chehra nidhal kya ho
bata k jao!k meri sorat pe tergi muskura pari to
main kya karun Gi.

bata k jao k tumko kitna pukarna hai
bichar k tujse ye waqt kaise guzarna hai
badan ko kitna sanwarna hai

bicharne wale chale jo ho to bata k jao


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...