Wednesday 29 July 2015

Ishq aur ishq k aadab ka kya karna hai

Ishq aur ishq k aadab ka kya karna hai
Ishq aur ishq k aadab ka kya karna hai 
TU nahi hai to kisi khuwaab ka kya karna hai. 

Jab tera naam mere naam k saath aaya nahi Harf ka lafz ka aarab ka kya karna hai. 

Ek Yahi chadar e hijran mujhe de kar us ne Keh 
k rukhsat kiya asbaab ka kya karna hai. 

Ab samundar hai na par hain na shab e chaar daham 
Ab teri aankh k mahtab ka kya karna hai. 

Katarnein ranj ki saanson mein girah Dalti hain 
Umar k resha o kam khuwaab ka kya karna hai.


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...