Thursday 28 May 2015

Dard ka izhaar kar k dard ko rusva na kar

Dard ka izhaar kar k dard ko rusva na kar

Dard ka izhaar kar k dard ko rusva na kar. 
Kar nahi sakta wafa to phir koi waada na kar. 

Warna kar len ge faraib aa kar ba aasani shikaar. 
Rooh se kat kar kabhi bhi jism ko tanha na kar. 

Khud fazayen jagmaga uthen gi dekhe ga jahaan. 
Roshni kar k khud apni roshni dekha na kar. 

Kya bache ga warna tere paas duniya k liye. 
Zindagi k har taqaze ko kabhi poora na kar. 

Zindagi jeeta hai har koi alag andaz se. 
Jaisa TU hai doosron ko bhi Wohi samjha na kar. 

Kon dekhe ga teri achhaiyan bol ay NehaL.. 
Kar k ghairon ka bura apna hi sirf achha na kar..


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...