Tuesday 29 September 2015

Kuch Bhi To Nahi Waisa

Kuch Bhi To Nahi Waisa
Kuch Bhi To Nahi Waisa 
Jaisa Tujhe Socha Tha 
Jitna Tujhe Chaha Tha 
Socha Tha Tere Lab Per 

Kuch Harf Duaon K 
Kuch Phool Wafaon K 
Mehkein Gay Meri Khatir 
Kuch Bhi To Nahi Waisa 
Jaisa Tujhe Socha Tha 

Mehsoos Yeh Hota Hai 
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak 
BeNaam Musaafat Mein 
Likhnay Ki Mohabbat Mein 
Parhnay Ki Zaroorat Mein 
BeSood Riyazat Thi 
BeFaiz Ibaadat Thi 

Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay 
In Jaagti Aankhon Nay 
Sab Khaam Khayali Thi 
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki 
Dil Ke Kisi Goshay Mein 
Khuwahish To Bacha Li Thi 

Lekin Tujhe Paa Kar Bhi 
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi 
Iss Habs K Mausam Ki 
Khirki Say Hawa Aai 
Na Phool Say Khushbo Ki 

Koi Bhi Sadaa Aai 
Ab Neend Hai Aankhon Mein 
Na Dil Main Wo Pehli Si 
Taaza Sukhan Aarai 
Na Lafz Mere Niklay 

Na Harf o Maani Ki 
Danish Mere Kaam Aai 
Na deeda Rafaaqat Mein 
Jitni Bhi Aziyyat Thi 
Sab Mere Hi Naam Aai 
Kuch Bhi To Nahi Wesa 
Jesa Tujhe Socha Tha 
Jitna Tujhe Chaha Tha..


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...