Sunday, 21 June 2015

Ajab Masoom Ladki thi

Ajab Masoom Ladki thi
Ajab din thay mohabbat ke, Ajab din thay rafaqat ke
Kabhi gar yaad aa jayen to
Palkon par sitare jhilmilate hain
Kisi ki yaad mein raton ko aksar jagna mamool tha apna
Kabhi gar neend aa jati to hum ye soch lete thay
Abhi to wo hamare waste roya nahi ho ga, abhi soya nahi ho ga
Abhi hum bhi nahi rote, abhi hum bhi nahi sote
So phir hum jaagte thay aur usko yaad karte thay
Akele beth kar weeran dil abad karte thay
Hamare saamne taron ke jhurmat mein akela chand hota tha
Jo uske husn ke agey bohat he maand hota tha
Flak par anginnat roshan sitaron ko
Jo hum tarteeb dete thay to uska naam banta tha
Jo agle roz jab miltey
To guzri raat ki har bekali ka zikr karte thay
Har aik qissa sunate thay
Kahan kis waqt kis tarha se dil dhadka batate thay
Main jab kehta ke jannan aaj to main raat ko aik pal nahi soya
To wo khamosh rehti thi
Par uski neend mein doobi do jheel si aankhen
Achanak bol uthti thi
Main jab usko batata tha ke main ne raat ko roshan sitaron mein
Tumhara naam dekha hai
To wo kehti tum jhoot kehte ho
Sitare main ne dekhe thay
Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha
Ajab Masoom Ladki thi
Mujhey kehti thi lagta hai, ab apne sitare mil he jain ge
Maggar usko khabar kia thi kinare mil nahi sakte
Mohabbat ki kahani mein mohabbat karne walon ke sitare mil nahi sakte
Kinare mil nahi sakte


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...