Eid Poetry.
Shugfta Shahdab Behad Adaab.
Pholon ki mehak Aabsharon ka Tarranum.
Shabab ka Umang, Kalion ka Tabassam.
Fizaon main Rachi Khushboo Jaise.
Sehar Angaiz Shagfoon, Dil awez naghmon jaise.
Bharpor Gungunate khayal main.
Khush kun adain jaise..
Khush adaa Machalti, Gungunati, Reshmi lehron jaise.
Haseen yadoon ki jal thal jaise.
Pur Kashish Eid aayi hai.
Is Dhanak rang mauqa par Meri Janab se
*Eid Mubarak*
.........................................
Chandani Rat Ayi hai
dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai
tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai
chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai
ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai
keh rahe hai hawa mujhy yasir!
us ne mehndi abhi lagaii hai.
.........................................
Eid Ayi hai
Rishta Torde Ke Janne Walay
Mujh Ko chorde Ke Janne Walay
Ab ki Eid per
mujhko jitnay card millay
un cardoon main
sab se pyara
sab se accha
pehla Card Tumhara hai
mujhko chorde ker janne walay
Zara Kaho To
yeah kis taraf ishara hai?
.............................
Eid Karta hai.
Aye Chand
Jab Wo Teri Tarf Dekhain
To Unhain Kuch Yaad Delana
Madh-hur Se Kuch Geet Sunana
Phir Chupkey Se Un K Pass Jana
Aur Kehna!!!
Tumhain Koi Yad Karta Hai.
Teri Arzo, Teri Umeed Karta Hai
Koi Ajj Be
Tumhain Dekh Kr
EID karta Hai.
Home
Eid poetry
Eid poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)
EmoticonEmoticon