Rooh meiN le ke zamaanoN ki thakan aaye the ham
Raat yuN tha k sar e shahr e badan aaye the ham
Khush-libaasi thi jahaaN shart usi mehfil meiN
Log kahte haiN tera hijr pahan aaye the ham
Yaad to hoga khili dhoop ke maanind ik roz
Rauzan E jaaN se teri rooh meiN chhan aaye the ham
Teri aaNkhoN meiN kabhi aaye the hairat ki tarah
Tere maathe pa’ kabhi misl e shikan aaye the ham
Tumko dekha to mili quvvat e goyaayi hameiN
Varna khaamosh the jab shahr e sukhan aaye the ham
Ye to accha hua jee khol ke roya wo hameiN
Kaisa bacchoN ki tarah dhool meiN san aaye the ham
Usne kuchh aisa banaya tha ki bigde hue the
Usne kuchh aisaa bigada tha ki ban aaye the ham
EmoticonEmoticon