Monday 14 September 2015

Faqat Hunar Hi Nahi Aaib Bhi Kamaal K Rakh,

Faqat Hunar Hi Nahi Aaib Bhi Kamaal K Rakh,
Faqat Hunar Hi Nahi Aaib Bhi Kamaal K Rakh, 
Soo Doosron K Liye Tajrube Misaal K Rakh. 

Nahi Hai Taab To Phir Aashiqi Ki Raah Na Chal, 
Ye Kaar-Zaar-e-Junoo'n Hai Jigar Nikaal K Rakh. 

Sabhi K Haath Dilon Par Nigaah Tujh Par Hai, 
Qadah Badast Hai Saaqi Qadam Sanbhaal K Rakh. 

Faraz Bhool Bhi Jaa Sanihe Muhabbat K, 
Hatheliyon Pe Na In Aablaon Ko Paal K Rakh
.Aise Chup Hain K Ye Manzil Bhi Karri Ho Jaisay 
Tera Milna Bhi Judaai Ki Gharri Ho Jaisay 

Apnay Hi Saaye Se Har Dam Laraz Jaata Hoon 
Raastay Mein Koi Deewar Kharri Ho Jaisay 

Kitne Nadaa'n Hain Tere Bhoolne Wale K Tujhay 
Yaad Karne K Liye Umar Parri Ho Jaisay 

Teray Maathe Ki Shikan Pehley Bhi Dekhi Thi Magar 
Ye Girah Ab K Mere Dil Mein Parri Ho Jaisay 

Manzilen Door Bhi Hain Manzilen Nazdeek Bhi Hain 
Apnay Paaon Main Zanjeer Parri Ho Jaisay 

Aaj Dil Khol K Roye Hain To Youn Khush Hain "Faraz" 
Chand Lamhoon Ki Ye Raahat Bhi Parri Ho Jaisay


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...