Tuesday, 4 August 2015

Raaton ko subh jaag k karna kahaan gaya

Raaton ko subh jaag k karna kahaan gaya
Raaton ko subh jaag k karna kahaan gaya 
Aahein watan ki yaad mein bharna kahaan gaya. 

Ujrray chaman mein ab bhi tamanna bahaar ki 
Jo hasraton mein tha kabhi marna, kahaan gaya. 

Bheja hai meri bhook ne mujh ko watan se door 
Marzi se apni main kabhi warna kahaan gaya. 

Sab ye samajh rahe hain yahaan main khushi se hoon 
Khushiyon mein gham ka aaj bhi dharna kahaan gaya.

Jo des se gaya hai wo roya hai des ko 
Kehtay thay jis ko hum kabhi apna kahaan gaya. 

Jaoon palat k ab bhi ye khuwaahish to hai Khalish 
Apnon se apne des mein Darna kahaan gaya. 
Poet: Shafiq Khalish


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...