Friday, 7 August 2015

Aarzu e wasL e Janaa'n mein sehar hony Lagi

Aarzu e wasL e Janaa'n mein sehar hony Lagi 
Zindagi Manind e Shamma Mukhtasar hony Lagi, 

Raaz-e-uLfat khuL na jaaye baat reh jaye meri, 
Bazm-e-Janaa'n mein iLaahi Chashm tar Hony Lagi, 

Ab shakeeb-e-DiL kahan Hasrat hi Hasrat Reh Gai, 
Zindagi Ik khwab ki surat basar hony Lagi, 

Yeh TaLism-e-Husn hai ya k Ma'aaL-e-IshQ hai, 
Apni nakaami hi apni Raah-Ber Hony Lagi, 

Un sy wabasa umeedein jo bhi thein wo mit Gaiyee'n, 
Ab tabiyyat Aap apni Charah-Gar hony Lagi, 

Wo Tabassum tha k BarQ-e-Husn ka Aijaaz tha, 
Kaayinaat-e-Jaan-o-DiL Zair-o-zabar hony Lagi, 

DiL Ki dharrkan barh gai Aankho'n mein Aansu aa gaye,
GhaaLbann meri taraf un ki nazar hony Lagi...!!! 

(Poet:- Hafeez JaLindhari)


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...