Friday, 3 July 2015

Sakhun Aamez Khaamoshi Ka Ye Aijaaz Hota Hai

Sakhun Aamez Khaamoshi Ka Ye Aijaaz Hota Hai
Sakhun Aamez Khaamoshi Ka Ye Aijaaz Hota Hai 
Samundar K Takallum Ko Bhi Jis Par Naaz Hota Hai 

Mahabbat Kya, Ibaadat Kya K Main Do Kashtiyon Mein Hoon 
Na Kuch Anjaam Hota Hai, Na Kuch Aaghaaz Hota Hai 

Khuda Naraaz Hota Hai, Agar Sajda Karon Tujh Ko 
Khuda Ki Maan Loon To TU Nazar Andaaz Hota Hai 

Mere Ahbaab Ka Ta'ana K Teray Kaan Bajtay Hain 
Mujhe Lagta Hai, Sannata Bhi Jaisay Saaz Hota Hai 

Sar-e-Rah Youn Paraayi Pot'Li Khola Nahi Kartay 
Bharam Ki Band Gutharri Mein Kisi Ka Raaz Hota Hai 

Jisse Sayyad Say Barrh Kar Shikam Ki Fikr Khaati Ho 
Wo Daana Chorr Kar Kab Maa'eil-e-Parwaaz Hota Hai 

Hamaari Maslhat Koshi Hamein Barbaad Kar De Gi 
Bhala Bethay Bethaye Bhi Koi Aijaaz Hota Hai? 

Main Izzat Baig Say Ruswaai Ka Tamgha Urra Laaya 
Shuru-e-Ishq Mein Ye Bhi Barra Aizaaz Hota Hai 
Poet: Rana Saeed Doshi


EmoticonEmoticon

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...