Kuch na kuch mashghala hi rehta hai.
Dil tu dil hai laga hi rehta hai.
Sab khataen hamaari hoti hain,
Hussan tu paarsa hi rehta hai.
Ab unhein aur koi kaam nahi,
Saamne aaina hi rehta hai.
Jo nazar bhar k dekh le us ko,
Phir usay dekhta hi rehta hai.
Kon samjhaye chaara-saazon ko,
Zakhm-e-dil hai hara hi rehta hai.
Jitna chaahe wo ajnabi ban jaye.
Aashna Aashna hi rehta hai.
Sirf chehray badalte rehte hain,
Aaina Aaina hi rehta hai.
Koi us ko Khuda kahe na kahe,
Wo Khuda hai Khuda hi rehta hai.
Jaane kya ho gaya hai Baquer ko,
Har gharri sochta hi rehta hai.
Poet:
Baquer Zaidi
Dil tu dil hai laga hi rehta hai.
Sab khataen hamaari hoti hain,
Hussan tu paarsa hi rehta hai.
Ab unhein aur koi kaam nahi,
Saamne aaina hi rehta hai.
Jo nazar bhar k dekh le us ko,
Phir usay dekhta hi rehta hai.
Kon samjhaye chaara-saazon ko,
Zakhm-e-dil hai hara hi rehta hai.
Jitna chaahe wo ajnabi ban jaye.
Aashna Aashna hi rehta hai.
Sirf chehray badalte rehte hain,
Aaina Aaina hi rehta hai.
Koi us ko Khuda kahe na kahe,
Wo Khuda hai Khuda hi rehta hai.
Jaane kya ho gaya hai Baquer ko,
Har gharri sochta hi rehta hai.
Poet:
Baquer Zaidi
EmoticonEmoticon