Tuesday, 29 September 2015

Kuch Bhi To Nahi Waisa

Kuch Bhi To Nahi Waisa
Kuch Bhi To Nahi Waisa 
Jaisa Tujhe Socha Tha 
Jitna Tujhe Chaha Tha 
Socha Tha Tere Lab Per 

Kuch Harf Duaon K 
Kuch Phool Wafaon K 
Mehkein Gay Meri Khatir 
Kuch Bhi To Nahi Waisa 
Jaisa Tujhe Socha Tha 

Mehsoos Yeh Hota Hai 
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak 
BeNaam Musaafat Mein 
Likhnay Ki Mohabbat Mein 
Parhnay Ki Zaroorat Mein 
BeSood Riyazat Thi 
BeFaiz Ibaadat Thi 

Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay 
In Jaagti Aankhon Nay 
Sab Khaam Khayali Thi 
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki 
Dil Ke Kisi Goshay Mein 
Khuwahish To Bacha Li Thi 

Lekin Tujhe Paa Kar Bhi 
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi 
Iss Habs K Mausam Ki 
Khirki Say Hawa Aai 
Na Phool Say Khushbo Ki 

Koi Bhi Sadaa Aai 
Ab Neend Hai Aankhon Mein 
Na Dil Main Wo Pehli Si 
Taaza Sukhan Aarai 
Na Lafz Mere Niklay 

Na Harf o Maani Ki 
Danish Mere Kaam Aai 
Na deeda Rafaaqat Mein 
Jitni Bhi Aziyyat Thi 
Sab Mere Hi Naam Aai 
Kuch Bhi To Nahi Wesa 
Jesa Tujhe Socha Tha 
Jitna Tujhe Chaha Tha..

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna 
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna 

Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne 
Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna 

Bohat Naaz Hy Na Tujay Apni Husn ki Dolat Per Dost 
Mere Paas B Hay Zakhmon Ki Jageer Dekhna 

Mere Ho Or Mere Hi Reho Ge Hamesha 
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna 

Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne. 
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna.

Nahi Hua Mujhe Naseeb Pyar Kisi Ka

Nahi Hua Mujhe Naseeb Pyar Kisi Ka
Nahi Hua Mujhe Naseeb Pyar Kisi Ka 
Phir Me Q Karun Itebar Kisi Ka 

Ae Waqt To Bhi Zara Thehar Ja 
Meri AankhO Ko B Hai iNtizar Kisi Ka 

Sari Duniya RoOth Jaye Koi Gham Nahi 
Jeete Ji Na Juda Ho Dildar Kisi Ka 

Kya Pochtay Ho Kahani Meri Mohabat Ki 
Chalte Chalte Kar Liya Tha Maine bi Itebar Kisi Ka..

Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain

Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain
Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain

Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain


Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay

Titliaan Saaya e Gulaab Mein Hain


Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per

Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain


Wo Abhi Tak Hai RuBaru Apnay.

Hum Abhi Tak Hisaar e Khwaab Mein Hain


Oski Aadat Hai Roothna Mohsin

Loog BeWaja Iztaraab Mein Hain

Meray Humdam

Meray Humdam
Meray Humdam 
Agar ik baar 
Bus Ikk baar yeh keh do 
Mujhay Tum Say Mohabbat Hai 

To jaan e Janaan 
YaQeen Maano 
Main apnay Aasmaan ka aik ikk taara 

December ki haseen baarish ki boonden sab 
Samandar k sabhi moti 
or 
Apnay DiL ki har dharrkan 

Tumharay naam kar doon 
Tumhein yeh zindagi Inaaam kar doon..

AankHaiin MiLaa K Dekhtay Hain..

AankHaiin MiLaa K Dekhtay Hain..
AankHaiin MiLaa K Dekhtay Hain.. 

K0n Kitnaa Udaas Rehta Hai..

Har sham kehtay ho kal sham milen gay..

Har sham kehtay ho kal sham milen gay..
Har sham kehtay ho kal sham milen gay.. 
Q ati nai wo sham jis sham milen gay.. 

Youn acha nai lagta yeh shamon ka badalna.. 
Kal sham b kaha tha k kal sham milen gay.. 

Ati ha jo milnay ki garhi kartay ho bahana.. 
Youn milna acha nai kisi kam say milen gay.. 

Yeh rah e muhabat hai yahan chalna aasan nai.. 
Ungli b uthay gi yahan ilzam b lagay gay.. 

Mumkin nai shamon k abhi milna jo hamara.. 
Hum dono k yak ja to b nam milen gay.. 

Umeed hai wo din ayen gay.. 
Subho sham milen gay saray aam milen gay..

Har sham kehtay ho kal sham milen gay..

Har sham kehtay ho kal sham milen gay..
Har sham kehtay ho kal sham milen gay.. 
Q ati nai wo sham jis sham milen gay.. 

Youn acha nai lagta yeh shamon ka badalna.. 
Kal sham b kaha tha k kal sham milen gay.. 

Ati ha jo milnay ki garhi kartay ho bahana.. 
Youn milna acha nai kisi kam say milen gay.. 

Yeh rah e muhabat hai yahan chalna aasan nai.. 
Ungli b uthay gi yahan ilzam b lagay gay.. 

Mumkin nai shamon k abhi milna jo hamara.. 
Hum dono k yak ja to b nam milen gay.. 

Umeed hai wo din ayen gay.. 
Subho sham milen gay saray aam milen gay..

Relations do not need Cute Voice and Lovely Face..

Relations do not need Cute Voice and Lovely Face..
Relations do not need Cute Voice and Lovely Face.. 

Relations need Beautiful Heart and Unbreakable Trust.

Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay..

Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay..
Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay.. 
Hum ko tuhfay ye tumhen dost bananay se mile.. 

Hum tarastay hi tarrastay hi tarastay hi rahay.. 
Wo falaanay se falaanay se falaanay say milay.. 

Khud se mil jatay tu chaahat ka bharam reh jata.. 
Kya milay aap jo logon k milaanay se milay.. 

Kabhi likhwanay gaye khatt kabhi parhwaye gaye khatt.. 
Hum hasinon se isi heelay bahaanay se milay.. 

Ik naya zakhm mila aik nayi umar mili.. 
Jab kisi sheher me kuch yaar puranay se milay.. 

Aik ham hi nahi phirrtay hain liye qissa e gham.. 
Un k khamosh Labbon par bhi fasaanay se milay.. 

Kaisay manayen k unhen bhol gaya to ae kaif.. 
Un k khatt aaj hamen tere sarhaanay se milay.. 
pOet Kaif Bhopali

Nazuk Mizaaj Hai Woh Pari Kuch Is Qadar..



Nazuk Mizaaj Hai Woh Pari Kuch Is Qadar..


Nazuk Mizaaj Hai Woh Pari Kuch Is Qadar..


Payal Jo Pehni Paon Mein To Cham Cham Se Darr Gai..

Wo Jo Log Thay Meray Humsafar..

Wo Jo Log Thay Meray Humsafar..
Wo Jo Log Thay Meray Humsafar.. 
Meri Zaat Ka Jo Nikhaar Thay.. 

Wo Jo Shab o Roz Meri Chah Thay.. 
Wo Jo Lamha Bhar Ka Waqar Thay.. 

Na Wo Log Hain Meray Pas Ab.. 
Na Nikhaar Hai Meri Zaat Mein.. 

Na Wo Shab o Roz Ki Chah Hai.. 
Na Wo Lamha Bhar Ka Waqar Hai.. 

Bus Zindagi Hai BeNaam Si.. 
Kabi Subh Si Kabi Shaam Si..

Khirkiyon Ke SHeshon Par

Khirkiyon Ke SHeshon Par
Khirkiyon Ke SHeshon Par 
Reengtay Hoey Qatray 
Youn Phisaltay Hain jasay 

Meray Our Badal Ke 
Darmayan Koi Hai Jo 
Meray Our Badal Ke 
Raaz Ko Samajta Hai 

Jab Gatayen Chayen To 
Sirf Wo Nahi Rotein 
Ankheen Be Barasti Hain 
Khirkiyan Bi Roti Hain

Raat Chupke Se December Ne Ye Sargoshi Ki..

Raat Chupke Se December Ne Ye Sargoshi Ki..
Raat Chupke Se December Ne Ye Sargoshi Ki.. 

Phir Se Ik Baar Rula Doon Tujhe Jatay Jaatay..

Mohabbat Phir Say Zinda Ho Gayi Hai..

Mohabbat Phir Say Zinda Ho Gayi Hai..
Mohabbat Phir Say Zinda Ho Gayi Hai.. 

Chalo Phir Say Isay Dafna k Aayen..

Usay keh do Yoon Weham naa kiya karay..

Usay keh do  Yoon Weham naa kiya karay..
Usay keh do 
Yoon Weham naa kiya karay.. 

Ye DiL koi khilona tou Nahin Jo har kisi ko de Dein Gay..

when u r in light everyone will follow u..

Golden words 
when u r in light everyone will follow u.. 
BUt when u enter into dark.. 
even ur own shadow will leave u.. 
that is life..

Kon is ghar ki dekh bhaal kare..

Kon is ghar ki dekh bhaal kare..
Kon is ghar ki dekh bhaal kare.. 

Roz ik cheez toot jaati hai..

Bahaar E Taaza Ka Haath ThaMay..

Bahaar E Taaza Ka Haath ThaMay..
Bahaar E Taaza Ka Haath ThaMay.. 

Barasty BaaDaL Ki BarishOn Men.. 
MehekTay Aanchal Ko Sar Pe OrhaY.. 

Koi GuLaBon Ki KhaLi Shakhon Pe.. 
Apny Honton Se PhooL TanKay.. 

PaiGhaM E Subh E NaveeD Parh K.. 
Koi To AankhOn Ki SarzamEn Se.. 

Sisakti KaLiyOn K MoTi Chun K.. 
PiyaSay Honton K MaQBaron Par.. 

GuLaB RanGoOn K HaaR DaLay.. 
Koi ShaFaQ K Udas DiL Say.. 

Meri MohaBat Ka NoHa SuN K.. 
Pakar K Kirnon Ki UnGLiyOn Ko.. 

TaareEk RaaTon K KaGhazon Par.. 
JuGnuOn Se Likhay UjaLay.. 

Koi To HuM Ko Bhi itna SocHay.. 
K KhuD Ko Hm Par Hi Vaar DaaLay.. 

Koi To Itna LipaT K RoyE.. 
K Ab K HuM Ko Hi MaaR DaLay..

Jurm samjho to noach daaLo Inhein..

Jurm samjho to noach daaLo Inhein..
Jurm samjho to noach daaLo Inhein.. 

Meri Aankhon Ko Bhaa Gaye Ho Tum..

Jaisay Aaj kal Baarish K Talabgaar Hain Sub..

Jaisay Aaj kal Baarish K Talabgaar Hain Sub..
Jaisay Aaj kal Baarish K Talabgaar Hain Sub.. 

Waisy Hi Zar0orat Mujhay Us Ki Hai..

Ay ZindaGi Itni BadSalook Na Ban..

Ay ZindaGi Itni BadSalook Na Ban..
Ay ZindaGi Itni BadSalook Na Ban.. 

Hum Kon Sa Bar 
Bar Ayen Gay..

Wo Ana Parast Tha UsKi Baton Me Iqrar B Tha

Wo Ana Parast Tha UsKi Baton Me Iqrar B Tha
Wo Ana Parast Tha UsKi Baton Me Iqrar B Tha 
Us K Chubte Huwe Lehjay Me Chupa Pyar B Tha 

Wo Mujhe Likhta Tha K Muntazir Na Raho 
Lekin Uski Tehreer Me Sadiyon Ka Intezar B Tha 

Wo Kehta Hai Na Rutho K Manana Nahi Aata 
Meri Narazgi Par Laikin Wo Bekarar B Tha 

Hum Shaid Phir Na Likhte Usay Apni Khabar 
Mohabbat ka Bharam Rakhna Tha Kuch Dil Be Ikhtiyar B Tha 

Shaid Yehi Uska Andaz e Mohabbat Ho 
Wo Mera Humdam B Tha Sitam Guzaar B Tha..

Katt hi gai judai bhi Kab yeh huwa k mar gaye..

Katt hi gai judai bhi Kab yeh huwa k mar gaye..
Katt hi gai judai bhi Kab yeh huwa k mar gaye.. 
Teray Bhi Din guzar gaye Meray Bhi din guzar gaye.. 

Teray Liye chaLay thay hum Teray Liye thehar gaye.. 
Tu nay kaha to Jee Uthay Tunay kaha to mar gaye.. 

Wo Bhi Ghubaar e Khaak tha Hum Bhi Ghubaar e Khaak thay.. 
Wo Bhi kahein bikhar gaya Hum Bhi kahein bikhar gaye.. 

Koi kinaar e Aab e Joo betha huwa hai sarnigoon.. 
Kashti kidhar chaLi gai Jaany kidhar bhanwar gaye.. 

Barish e WasL jo hoi sara ghubaar dhuL gaya.. 
Wo Bhi Nikhar nikhar gaya Hum Bhi nikhar nikhar gaye..

Itnay QareeB ho gaye itnay RaQeeb ho gaye.. 
Wo Bhi Adeem Dar gaye Hum Bhi Adeem Dar gaye..

Tumhein bhi to khabar ho gi k..

Tumhein bhi to khabar ho gi k..
Tumhein bhi to khabar ho gi k.. 
Darya paas behtay hon to pani acha Lagta hai.. 

Kinaron par jurri matti sy puchho Rog chahat ka.. 
k us paani ki chahat mein Kinaara phir nahi miLta.. 

Tumhein bus itna Likhna hai Yahan jo bhi bichharr jaaye.. 
Dobara phir nahi miLta..

Yun teray Talismaat ka Izhar hua hay..

Yun teray Talismaat ka Izhar hua hay..
Yun teray Talismaat ka Izhar hua hay.. 
Ek khawab mera neend se Bedaar hua hay.. 

Sab Khoon Paseena Meray Dehqaan Ka pee kar.. 
Ek Fard meray Gaaon ka Sardar hua hay.. 

Main Uus se mila Zaat ki Deewaar Gira kar.. 
Jo Shakhs meri Raah ki Deewaar Hua hay.. 

Gumnaam tha Jo wo b Muhabbat ki Badolat.. 
Mashhoor hua Itna k Akhbaar Hua hay.. 

Tujh ko nahi Ehsas k Aey Dil Teri Khatir.. 
Ek Shakhs baray Kaam ka bekaaar hua hay..

Bahut Hi Kam Nazar Aaya Mujhe Ikhlaas Logon Mein..

Bahut Hi Kam Nazar Aaya Mujhe Ikhlaas Logon Mein..
Bahut Hi Kam Nazar Aaya Mujhe Ikhlaas Logon Mein.. 

Ye Daulat Batt Gayi Shaayad Bahut Hi Khaas Logon Mein..

Sunday, 27 September 2015

Rehtey Hain Masroof Kartey Hain Bahaney Aur Batatey Hain Majburiyan..

Rehtey Hain Masroof Kartey Hain Bahaney Aur Batatey Hain Majburiyan..
Rehtey Hain Masroof Kartey Hain Bahaney Aur Batatey Hain Majburiyan.. 

Saaf Lafazon Main Log Khud Ko Bewafa Nhe Kehty..

Kiss Qadar khush Dikhaayi Deta Hon..

Kiss Qadar khush Dikhaayi Deta Hon..
Kiss Qadar khush Dikhaayi Deta Hon.. 

Kaisa Funkaar Ho Gaya Hon Main..

Aaya Na ik BaaR BHi AyaaDat Ko WoH MaseehA

Aaya Na ik BaaR BHi AyaaDat Ko WoH MaseehA
Aaya Na ik BaaR BHi AyaaDat Ko WoH MaseehA 

So BaaR HuM FaraiB Se BiMaar Ho Gaye

Bharosa Dua Wafa Khawab Maan Mohabat

Bharosa Dua Wafa Khawab Maan Mohabat
Bharosa Dua Wafa Khawab Maan Mohabat
.

Kitne Naamon Mai Simte Ho Sirf Ek Tum..

Har Tamashai Faqat Sahil Sey Samundar Dekhta..

Har Tamashai Faqat Sahil Sey Samundar Dekhta..
Har Tamashai Faqat Sahil Sey Samundar Dekhta.. 
KauN Dariya Ko Ulta KauN Guhar Dekhta.. 

Woh To Duniya 
Ko Meri dEwANGi Khush Aa Gayi.. 
Tere HaathoN Me Wagarna Pehla Pathar Dekhta.. 

Aankh Se Aansu Jarrey The Par Tujh Ko Sada Na Di.. 
Iss Tawaqo Par K Shayad Tu Palat Kar Dekhta.. 

Meri Qismat Ki LakeereN Mere HathoN Me Na Thin.. 
Kash Teri Peshani Par Koi Mera Muqadar Dekhta.. 

Zindgi Phheli Hui Thi Sham E HijraN Ki Tarha.. 
Kis Ko Itna Hosla Tha KauN Jii Kar Dekhta.. 

Doobne Waala Tha Aur Saahil Pe ChehroN Ka Hajoom.. 
Pal Ki Muhlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Kar Dekhta.. 

Tu Bhi DIL Ko IK Lahu Ki Boond Samjha Hay Faraz.. 
Aankh Agar Hoti To Qatrey Mein Samundar Dekhta..

Afsurdgi k hathon jal jal k thak gaye hain

Afsurdgi k hathon jal jal k thak gaye hain
Afsurdgi k hathon jal jal k thak gaye hain 
Ay dil zara thahar ham chal chal k thak gaye hain 

Jese k be yaqini tabeer ho chuki ho 
ham ahl e khwab aankhain mal mal k thak gaye hain 

Kya janiye kitni gehri zulmat me hai muqadar 
Kya janiye kitne soraj dhal dhal k thak gAye hain 

Wa mandgi he thehri hasil e safar apna 
Tum ruk k thak gaye ho ham chal k thak gaye hain 

Is kanj e aafiyat se dushman ki qaid achi 
Saye me tumari muhabat ka jal k thak gaye hain..

Fareb ham ne bhi khaye shikaar ham bhi huway..

Fareb ham ne bhi khaye shikaar ham bhi huway..
Fareb ham ne bhi khaye shikaar ham bhi huway.. 
Dayaar rahte huway be dayaar ham bhi huway.. 

Na zindagi hi alag kar saki na maut hamein.. 
Gunah mein un k shareek e fishaar ham bhi huway.. 

Sabhi ko ishq mein sab kuch mila zaroorat bhar.. 
Wo motabar huway be itbaar ham bhi huway.. 

Hamein bhi raahguzar par bichhe mile kaante.. 
Qareeb aayi jo manzil ghubaar ham bhi huway.. 

Wafoor e gham kisi tufaan se kam nahi hota.. 
Jo zabt toot gaya ashkbaar ham bhi huway.. 

Dabbaye jab bhi gaye ham tabhi ubhar aaye.. 
NehaL ham bhi mite shahkaar ham bhi huway..

Wohi Howa Naa Tera DiL Bhar Gaya Mujh Say

Wohi Howa Naa Tera DiL Bhar Gaya Mujh Say
Wohi Howa Naa Tera DiL Bhar Gaya Mujh Say 

Mene Kaha Bhi Thaa Yeh MohaBBat Nahi Jo Tum Karte Ho

Koi jazba adhoora reh geya

Koi jazba adhoora reh geya
Koi jazba adhoora reh geya
 

December aansuon mein beh geya hai

I kn0w I am n0t imp0rtant in y0ur Life..

I kn0w I am n0t imp0rtant in y0ur Life.. 

But I just h0pe that.. 

One day when I will die and y0u see my dead b0dy.. 

Y0U w0uld have tears in ur eyes 
and u will be Saying.. 

Come back Yar 
I Miss y0u 
But I will have g0ne L0ng forever & will never c0me back.. 

S0.. 
Enj0y my silly stupid c0mpany as much bef0re I cl0se my eyes forever.. 

And f0rgive my mistakes at the end of 2014.. 

Regards.. Murad khan

Shehar e Aazaar ko khulti hoi khirki ki thakan..

Shehar e Aazaar ko khulti hoi khirki ki thakan..
Shehar e Aazaar ko khulti hoi khirki ki thakan.. 
Meri Aankhon ko Bhigoti hoi Aawara Hawaa.. 

Dosh e Deewaar pay Bezaar Gharri ki Tik Tik.. 

Mere Anjaam pe Rota howa Saanson ka Sitaar.. 
Tooti Almari Main Bikhre howay Chahat k Naqoosh.. 

Raqs karti hoi Tanhai k 
Piyase Saaye.. 
Main Akelaa hoon Mgr Phir bhi Akelaaaa to nahi..

Sardar in police station:

Sardar in police station: 
ay tasveeran kina diyan ne? 

police: Criminals ki jin ko arrest karna hai. 

Sardar: tay chawlo jadon khechian c udon e phar lenday.

Bara ehsan hum farma rahay hen

Bara ehsan hum farma rahay hen
Bara ehsan hum farma rahay hen 
K un k khat unhen lota rahay hen 

Nahi tark e mohabat par wo razi 
Qayamat hay k hum samjha rahay hen 

Yaqeen ka rasta tay karnay walay 
Bahot tezi se wapis aa rahay hen 

Ye mat bhoolo k ye lamhat humko 
Bicharnay k liye milwa rahay hen 

Taajub hay k ishq.o.aashiqi se 
Abhi kuch loq dhoka kha rahay hen 

Tumhen chahen gay jab chhin jao gi tum 
Abhi hum tumko arzaan pa rahay hen 

Kisi surat unhen nafrat ho hum se 
Hum apne aib khud ginwa rahay hen 

Wo pagal mast hay apni wafa me 
Meri ankhon me aansu aa rahay hen 

Teri bahon se hijrat karnay walay 
Naye mahol me ghabra rahay hen

Abhi Kuch Roz Baqi Hain December Beet Jane Mein

Abhi Kuch Roz Baqi Hain December Beet Jane Mein
Abhi Kuch Roz Baqi Hain December Beet Jane Mein 
Abhi Kuch Waqt Baqi Hai Naya Phir Saal Aane Mein 

Chalo Aisa Karen Hum Tum Gile Shikwe Jo Rehte Hain 
Hamesha Darmiyan Apne 

Kiyon Na Khatam Kar Dalen 
Naye Wade Nayi Qasmen 
Nayi Umeed Hum Baandhen 

Naye Andaz Se Jeewan Ka Ek Ek Rukh Badal Dalen 
Dilon Mein Hai Kadorat Jo 
Hum Us Ko Khatam Kar Dalen 

Abhi Kuch Waqt Baqi Hai 
Naya Phir Saal Aane Mein 
Abhi Kuch Dair Baqi Hai December Beet Jaane Mein

Tu AaaSra Hai Mera..

Tu AaaSra Hai Mera..
Tu AaaSra Hai Mera.. 

AUr MaiN Be AaSraa Hon AaJ KaL..

Wo Dekho Jala Ghar Kisi Ka..

Wo Dekho Jala Ghar Kisi Ka..
Wo Dekho Jala Ghar Kisi Ka.. 
Ye Toote Hain Kis K Sitare.. 
Wo Qismat Hansi.. 
Aur Aise Hansi.. 
K Rone Lage Gham K Mare.. 

Gaya Jese Jhonka Hawa Ka.. 
Hamari Khushi Ka Zamana.. 
Diye Hum Ko Qismat Ne Aansoo.. 
Jab Aaya Hamein Muskurana.. 
Bina HumSafar He Sooni Dagar.. 
Kidhar Jaein Hum Be Sahare.. 

Hain Rahein Kathan 
Door Manzil.. 
Ye Chaya He Kesa Andhera.. 
K Ab Chaand Sooraj Bhi Mil Kar.. 
Nahi Kar Sakein Ge Sawera.. 
Ghata Chaye Gi Bahar Aaye Gi.. 
Na Aaein Ge Wo Din Hamare.. 

Idhar Ro Rahi Hain Ye Aankhein.. 
Udhar Aasman Ro Raha He.. 
Mujhe Kar K Barbad Zalim.. 
Pasheman Ab Ho Raha He.. 
Ye Barkha Kabhi To Ruk Jaye Gi.. 
Rukein Na Aansoo Hamare..

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...