Home
Archives for April 2015
Tuesday, 28 April 2015
Qadmon se Uski Yaad Ki khushboo Lipat Gai..
Us K Baghair Agarchy Meri Umr katt Gai,
Lekin Hayaat kitnay Anasir Mein Batt Gai..
Main Ne Usay khareed Liya Chahaton k Bhao,
Phir Yoon Hua K Qeemat-E-Bazaar Ghat Gai..
Bethi Hui Thi Oot Mein khuwabon ki Chandni,
Main Dekhny Laga To Dareechy Se Hatt Gai..
Logon Ne Meri Shakal K Tukray Utha Liye,
Tasveer Mery Chahnay Waalon Mein Batt Gai..
Ghar Chorny Ka Jab Bhi Irada kiya
Qateel !
Qadmon se Uski Yaad Ki khushboo Lipat Gai...
Sirf bewafa likha
Tags
Ab ke uss ki ankhon main
Be-sabab udaasi thi
Ab ke uss ke chehre pr
Dukh tha, be-hawaasi thi
Ab ke yuun mila mujhse
Yuun ghazal suni jese
Main bhi na-shanaasa hoon
Woh bhi ajnabi jese
Zard haal-o-hadh us ke
Sogwaar daaman tha
Ab ke uss ke lehje mein
Kitna khurdraa-pan tha
Woh ke umar bhar jis ne
Sheher bhar ke logon mein
Mujh ko hum-sukhan jaana
Khud sa meherbaan samjha
Mujh ko dilrubaa likha
Ab ke saada kaghaz pr
Surkhh roshnaayi se
Uss ne talkhh lehje mein
Mere naam se pehle
Sirf bewafa likha
Sirf bewafaa likhaa..
Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,
Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,
Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka...
Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy,
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka...!!
Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hy,
Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka...!!
Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,
Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka...!!
Doston sy 'WASI' agar tumhain muhabbat hy,
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka.,,!!
Monday, 27 April 2015
Apni khushian luta kr us pe qurban ho jaun.
Apni khushian luta kr us pe qurban ho jaun.
Kash kuch din is shehr mein mehman ho jaun.
Wo apna nayab dil mujko de de or phr mange.
Main mukr jaun or bayeman ho jaun.
Wo mujh pr sitam kre hr kisi ki tran.
Main is ada pr b mehrban ho jaun.
Wo mere paon k nche se zmen khench le.
Or phr main uska asman ho jaun.
Ab to mujko us se itni muhbt ho gai hy. "wasi"
KHUDA kre koi mojza ho'or main us k naam ho jaun.....
Kash kuch din is shehr mein mehman ho jaun.
Wo apna nayab dil mujko de de or phr mange.
Main mukr jaun or bayeman ho jaun.
Wo mujh pr sitam kre hr kisi ki tran.
Main is ada pr b mehrban ho jaun.
Wo mere paon k nche se zmen khench le.
Or phr main uska asman ho jaun.
Ab to mujko us se itni muhbt ho gai hy. "wasi"
KHUDA kre koi mojza ho'or main us k naam ho jaun.....
Friday, 24 April 2015
Thursday, 23 April 2015
Suno tum lot aao na
Tags
Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na
Woh dekho chand nikla hai
Sitare jagmagate hai
Hamari muntazir aankhain
Dua mangti aankhain
Tum ko hi sochti aankhain
Tum ko hi dhondti aankhain
Tum ko wapis bolati hain
Ye dil jab bhi dharakta hai
Tumhara naam leta hai
Ye aansu jab bhi behte hain
Tumhare dukh me behte hain
Ye barish jab bhi hoti hai
Tumhari yaad aati hai
Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na
Kisi din lot aao na
Woh dekho chand nikla hai
Sitare jagmagate hai
Hamari muntazir aankhain
Dua mangti aankhain
Tum ko hi sochti aankhain
Tum ko hi dhondti aankhain
Tum ko wapis bolati hain
Ye dil jab bhi dharakta hai
Tumhara naam leta hai
Ye aansu jab bhi behte hain
Tumhare dukh me behte hain
Ye barish jab bhi hoti hai
Tumhari yaad aati hai
Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na
bewafa larka
Tags
bewafalarka |
itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.
uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!
sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna.
Tuesday, 21 April 2015
Thursday, 16 April 2015
Yahi Manzar Thay Anjaanay Se Pehlay
Yahi Manzar Thay Anjaanay Se Pehlay
Tumhaaray Shehar Main Aanay Se Pehlay
Zameen Ki Dharkanen Pehchaan Lena
Koi Dewaar Banwaanay Se Pehlay
Palat Kar Kiyon Mujhe Sab Dekhtay Hain
Tumhaara Zikar Farmaanay Se Pehlay
Na-Jaanay Kitni Aankhen Muntazir Theen
Sitaaray Baam Par Aanay Se Pehlay
Dareechay Band Ho Jaatay Hain Kitnay
Yahaan Manzar Badal Jaanay Se Pehlay
Tuesday, 14 April 2015
Bicharne waley chale jo ho to bata k jao
Bicharne waley
chale jo ho to bata k jao
k kitni shamain udaas ankhon main kaatni hain.
k kitni subhain akele pan main guzarni hain.
bata k jaao.
k kitne sooraj azaab raston ko dekhna hai
k kitne mahtaab sard raaton ki.wus'aton se nikaalne hain.
bata k jaao k chand raaton main waqt kaise guzaarna hai.
khush lamhon main tujko kitna pukaarna hai.
bata k jaao!k kitne lamhe shumaar karne hain hijraton k
k kitne mosam ik aik kar k judayon main guzarne hain.
bata k jaao k panchyon ne akele pan ka sabab jo pucha.
to kya kahun gi.
kisi ne raste main rok kar mujse ab jo pucha
k pichle mosam main saye saye jo ajnabi tha
to kaya kahun Gi.
bichar k tujse habib kis se mila karun Gi
bata k jaao! k ankh barsi to kon moti chuna karega.
udaas lamhon main dil ki dharkan suna karega.
bata k jaao!k mosamon ko pyaam dene hain ya nahin.
falak ko,taaron ko,jugnuon ko salam dene hain ya nhi.
bata k jaao! k kis pe hai aitbaar karna
to kis ki baton pe be-niazi k silsile ikhtiar karna.
bata k jao! k ab rawayon ki chal kya ho
jwab kya ho swal kya ho
uroj kya ho zawal kya ho
nigah,rukhsar,zulf,chehra nidhal kya ho
bata k jao!k meri sorat pe tergi muskura pari to
main kya karun Gi.
bata k jao k tumko kitna pukarna hai
bichar k tujse ye waqt kaise guzarna hai
badan ko kitna sanwarna hai
bicharne wale chale jo ho to bata k jao
Aye bewafa......!
Tags
Aye bewafa......!
itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.
uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!
sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna.
Wednesday, 8 April 2015
Tujh Se Bichar Kar Rote Hain
Tujh Se Bichar Kar Rote Hain
Hay Hum Ujar Kar Rote Hain
Jab Satati Hain Teri Yadain
Tere Khat Parh Kar Rote Hain
Achai Ka Sila Mila Aisa
Ab Khud Se Lar Kar Rote Hain
Tujh Se Nahi Hai Koi Shikwa
Qismat Se Jaghar Kar Rote Hain
Wo Sab Se Barh Kar Hanste Hain
Hum Sab Se Barh Kar Rote Hain
Tere Ye Gham Nageeno Ke Tarah
Hum Dil Me Jur Kar Rote Hain
Jab Bazam Me Hota Hai Zikar-E-Yaar
Hum Dil Ko Pakar Kar Rote Hain
Faqat Ek Ishq Kya Kar Baithe
Ab Sooli Pe Charh Kar Rote Hain..
Hamain kab FarQ parta hai
Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai
K hum to Shaakh se tootay howay Pattay
BohAt Arsa hua Hum ko Raggein tak Marr Chuki Dil ki
Koi Paon talay Roundey Jalaa kar Raakh kar daalay
Hawa k Hath par rakh kar
Kahin bhi Phaink day Hum ko
Sapurd e Khaak kar dalay
Hamain ab Yad hi kab hai
K Hum bhi Aik Mousam thay
Kisi Gulshan ki Zeenat thay
Kisi Tehni ki Qismat thay
Kai Aankhon ki Rahat thay
Ya jeewan ki Hararat thay
Bohat Arsa howa wo khawab Sa Mousam
Hamaray Hath se Phisla
Ya Shayad phir Khizaan Mousam ko Hum Apna samjh bethay
So Uss Dinn se Kisi Mousam se ab apna
Koi Rishta nahi banta
Kisi ki Shakh ki bahien Hamain Pehchanti kab hain..
Kabhi hum un ki Dharkan thay
Yeh Shakhein Maanti kab hain..
Subscribe to:
Posts (Atom)