Tuesday, 31 March 2015

Mera to Ranjshein Sari Mitaney Ka Irada Tha,,

Mera to Ranjshein Sari Mitaney Ka Irada Tha,,

Mera to Ranjshein Sari Mitaney Ka Irada Tha,,
Galey Us Shakhs Ko Phir Se Laganey Ka Irada Tha,,


Chalo Acha Hua SAHIL Se Hi Lota dia wrna,,

Mera To Kashtiyan Sari Jalaney Ka Irada Tha,,


Macha Deti Hai Halchal sham Dhaltey Hi teri Yaadein,,

Dil e Nadaan ka Tujhko Bhulaney Ka Irada Tha,,

Mohabbat chor di hum ne

Mohabbat chor di hum ne


Yeh tum se keh diya kis ne 
Kay tum bin reh nahi saktay
 Yeh dukh, hum seh nahi saktay 
Chalo, hum maan laitay hain
 Kay tum bin, hum buhat roye 
Ke raaton ko na soye 
Magar, afsos hai jana
 Kay ab kay tum jo louto gey
 Humain tabdeel paao gey
Buhat mayoos hogey tum 
Kay agar poochhna chaho kay,
 Aisa kyon kiya hum ne
 Tou sunn loo ghour se jana
 Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne
 Mohabbat chor di hum ne

Monday, 30 March 2015

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum

Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin

Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai.

Woh kisi or ka hoga to qayamat hogi

Woh kisi or ka hoga to qayamat hogi



Woh kisi or ka hoga to qayamat hogi
Phir kisi ko bhi kisi se na mohabbat hogi

Usay dekhay koi acha nhi lgta mujh ko
Is se barh kr bhi koi or mohabbat hogi

Raat kal chaand ko dekha to yeh ehsas hua
Woh akela hai usay meri zarurat hogi

Aey KHUDA usko kisi or ka honay na dena
Zindagi bhar mujhay phir tujh se shikayat hogi..

bhege hue aik shaam ki dehleez pay betay


bhege hue aik shaam ki dehleez pay betay
hum dil kay sulagnay ka sabab soch rahay hain

huron say keh do kisi guman main na rahain

huron say keh do kisi guman main na rahain wo farsh pay bhe mera hay aur arsh pay bhe mera hay

huron say keh do kisi guman main na rahain
wo farsh pay bhe mera hay aur arsh pay bhe mera hay

Thursday, 26 March 2015

Mohabbat mer nahi jati Mohabbat saans leti hai





Mohabbat mer nahi jati 

Mohabbat saans leti hai
Kabhi yaadun ki chilman se
Ye dil mei jhaank leti hai
Kabhi mujassam hamare samne aa ker
Hamare hath ko Apne fusoon se thaam leti hai
Mohabbat mer nahi jati
Mohabbat saans leti hai
Ye gerdish kesi gerdish hai
Bohat se rang hen jis mei
Dhanak rang ourhni ban ker 
Ye ham ko dhaanp leti hai
Mohabbat mer nahi jati
Mohabbat saans leti hai

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...