best

Sunday, 27 November 2016

Pahunch se door, chamakta saraab – yaa’ni tu, poetry, english poems, poetry online,

Pahunch se door, chamakta saraab – yaa’ni tu
Pahunch se door, chamakta saraab – yaa’ni tu
Mujhe dikhaaya gaya aek khaab – yaa’ni tu
Main jaanta hun babul aur gulaab ke maani
Babool yaani zamaana, gulaab – yaa’ni tu
Jamaaliyaat ko paRhne ka shauq tha, so mujhe
Ataa hua hai mukammal nisaab – yaa’ni tu
KahaaN yeh zarra E taar-k-bakht, yaani main
KahaaN woh noor bhara maahtaab – yaa’ni tu
Badal gayi hai bahut mamlekat mere dil ki
K aagayaa hai yahaaN inqilaab – yaa’ni tu
Har ek Ghazal ko samajhne ka waqt hai na dimaGh
Mujhe bahut hai faqat intekhaab – yaa’ni tu
Kabhi to mere andheroN ko raushni dega
Gurez karta hua maahtaab – yaa’ni tu
Idhar hai koh-kan-e-dasht-e-ishq yaani main
Udhar hai husn E nazaakat ma’aab – yaa’ni tu
UjaaR gulshan E dil ko baRi duaaoN ke baad
Hua naseeb, gul E baaryaab – yaa’ni tu
Bahut taveel sahi daastaan E dil lekin
Bus ek shakhs hai lubb-e-labaab – yaa’ni tu
Kabhi kabhi nazar aata hai dasht E hijraaN mein
JunuN ki pyaas baRhata saraab – yaa’ni tu
Chakhe beghair hi jis ka nasha mukammal hai
Mujhe baham hai ek aisi sharaab – yaa’ni tu
Koi sawaal hai jis ko jawaab milta nahi
Sawaal yaani K ‘Faaris’, jawaab – yaa’ni tu

No comments:

Post a Comment