Aankhon Pe Haath Rakhay
Bachpan Ko Youn Soch Rahi Hoon
Jahaan Baba Ki Goud Mein
Sar Rakh K Roya Karti Thi Har Roz Apni
Naye Zid Boya Karti Thi
Yaad Hai Baba Tum Ko
Ek Din Meri Gurriya Toot Gayi Thi
Phir Main Tum Se Rooth Gayi Thi
Sar Pe Haath Rakh K
Baba Tum Bole Thay..
Rab Kabhi Na Rulaye Tujhe
Sukh Mere Bhi Dikhaye Tujhe
Jab Jab Andhera Aaye Ga
Baba Roshan Diya Jalaye Ga
Baba Arsa Beet Gaya Hai
Ab Tera Aangna Chout Gaya Hai
Sukh Badle Hain Dukh Mein Mere
Aur..
Gurriya Teri Toot Gayi Hai
Apne Naseeb Se Rooth Gayi Hai
Aaj Bhi Tum Aao Na Baba
Roshan Diya Jalao Na Baba
Gurriya Teri Aaj Ro Rahi Hai
Aaj Phir Se Apni Goud Mein Sulaao Na Baba
Bachpan Ko Youn Soch Rahi Hoon
Jahaan Baba Ki Goud Mein
Sar Rakh K Roya Karti Thi Har Roz Apni
Naye Zid Boya Karti Thi
Yaad Hai Baba Tum Ko
Ek Din Meri Gurriya Toot Gayi Thi
Phir Main Tum Se Rooth Gayi Thi
Sar Pe Haath Rakh K
Baba Tum Bole Thay..
Rab Kabhi Na Rulaye Tujhe
Sukh Mere Bhi Dikhaye Tujhe
Jab Jab Andhera Aaye Ga
Baba Roshan Diya Jalaye Ga
Baba Arsa Beet Gaya Hai
Ab Tera Aangna Chout Gaya Hai
Sukh Badle Hain Dukh Mein Mere
Aur..
Gurriya Teri Toot Gayi Hai
Apne Naseeb Se Rooth Gayi Hai
Aaj Bhi Tum Aao Na Baba
Roshan Diya Jalao Na Baba
Gurriya Teri Aaj Ro Rahi Hai
Aaj Phir Se Apni Goud Mein Sulaao Na Baba
No comments:
Post a Comment