best

Thursday, 2 July 2015

Hamaari Umar Samandar Ka Khaara Paani Hai..

Hamaari Umar Samandar Ka Khaara Paani Hai..
Bhanwar Safeena Safar Sab Ka Sab Kahani Hai.. 
Musafirat B Azziyat Ki Ek Nishani Hai.. 

Kisi Ki Pyas Bujhaane K Kaam Ki B Nahi.. 
Hamaari Umar Samandar Ka Khaara Paani Hai.. 

Nishaan e Sajda Me Bharni Hai Bandagi Ki Ziya.. 
Diya Bana Liya Hai Roshni Banaani Hai.. 

Baha Raha Hoon Kisi Gham Me Mustaqil Aansu.. 
Mujhe Nazar K Charaghon Ki Lou Barhaani Hai.. 

Guzishta Lamhon Se Aainda Waqt Dhalna Hai.. 
Puraani Kal Se Nayi Kal Mujhe Churaani Hai.. 

Ye Irtiqa Mere Idraak Par Museebat Hai.. 
Abhi Nayi Thi Ye Dunya Abhi Puraani Hai.. 

Nizaara Hasb e Tabiyat Hai Hussn Hasb e Mizaaj.. 
Khizaan Raseeda Dilon Ko Khizaan Suhaani Hai.. 

Khud Ihtisaabi Ki Manzil Hai Zindagi Jaise.. 
Badan Ki Jharrti Hoi Khaak Khud Uthani Hai.. 

Ajeeb Radd o Badal Ho Gaya Hai Khalqat Me.. 
Hai Rooh Khaaki Meri Jism Aasmaani Hai.. 

Ghamon Ko Baandh K Akbar Main Apne Daaman Me.. 
Ye Sochta Hon K Doulat Kahan Chupaani Hai.. 
Poet: 
Hassnain Akbar

No comments:

Post a Comment