best

Tuesday, 23 June 2015

Chitthi hai watan se chitthi aayi hai

Chitthi hai watan se chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai
Chitthi hai watan se chitthi aayi hai
Bade dinon ke baad, hum bevatanon ko
yaad 
Watan ki mitti aayi hai, 


Oopar mera naam likha hain, andar yeh
paigam likha hai
O pardes ko jaane waale, laut ke phir na
aane waale
Saat samundar paar gaya tu, humko zinda
maar gaya tu
Khoon ke rishte tor gaya tu, aankh mein
aansoo chhor gaya tu
Kam khaate hain kam sote hain, bahut
zyada hum rote hain, 


Sooni ho gain shehar ki galiyan, kaante ban
gain baag ki kaliyan
Kehte hain savan ke jhoole, bhool gaya tu
hum nahin bhoole
Tere bin jab aayi divaali, dip nahin dil jale
hain khaali
Tere bin jab aayi holi, pichakaari se chhooti
goli

Peepal soonaa panaghat soonaa ghar
shamashaan ka bana namoonaa
Fasal kati aayi baisaakhi, tera aana reh
gaya baaki,.

Pehle jab tu kat likhataa tha kaagaz mein
chehra dikhta tha
Band hua yeh mel bhi ab to, khatam hua yeh
khel bhi ab to

Doli mein jab baithi bahana, rasta dekh rahe
the naina
Main to baap hoon mera kya hai, teri maan
ka haal bura hai
Teri bivi karti hai seva, soorat se lagti hain
bevaa

Toone paisaa bahut kamaayaa, is paise ne
desh chhuraayaa
Panchhi pinjaraa tor ke aaja, desh paraya
chhod ke aaja
Aaja umar bahut hai chhoti, apne ghar mein
bhi hain roti,

No comments:

Post a Comment