best

Thursday, 28 May 2015

Irada Jo Bhi Karta Hoon Bil Aakhir Torr Deta Hoon

Irada Jo Bhi Karta Hoon  Bil Aakhir Torr Deta Hoon

Irada Jo Bhi Karta Hoon 
Bil Aakhir Torr Deta Hoon 
Mai Apne Aap Ko Mushkil Me 
Tanha Chorr Deta Hoon 

Hunar Ab Aa Gaya Mujh Ko 
Wafaon Ke Parakhney Ka 
Dikhaway Ki Har Ek Chahat 
Mai Wapis Morr Deta Hoon 

Najaney Zid Hay Ye Kesi 
Ana Me or Mohabbat Me 
Talluq Torrta Hay Wo 
Mai Phir Se Jorr Deta Hoon 

Wo Lamhe Uski Qurbat Ke 
Mujhe Jab Yaad Aate Han 
Phir Apne Sabar Ka Daman 
Bhi Aksar Chorr Deta Hoon 

Ulajhti Hay Kahani Jab 
Wafaon or Jafaon Ki 
Kamal e Zabt Se Us Ko 
Naya Ek Morr Deta Hoon

No comments:

Post a Comment