best

Friday, 3 April 2015

Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai

Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai


Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai 
K hum to Shaakh se tootay howay Pattay 
BohAt Arsa hua Hum ko Raggein tak Marr Chuki Dil ki 

Koi Paon talay Roundey Jalaa kar Raakh kar daalay 
Hawa k Hath par rakh kar 
Kahin bhi Phaink day Hum ko 

Sapurd e Khaak kar dalay 
Hamain ab Yad hi kab hai 
K Hum bhi Aik Mousam thay 
Kisi Gulshan ki Zeenat thay 

Kisi Tehni ki Qismat thay 
Kai Aankhon ki Rahat thay 
Ya jeewan ki Hararat thay 
Bohat Arsa howa wo khawab Sa Mousam 

Hamaray Hath se Phisla 
Ya Shayad phir Khizaan Mousam ko Hum Apna samjh bethay 
So Uss Dinn se Kisi Mousam se ab apna 
Koi Rishta nahi banta 

Kisi ki Shakh ki bahien Hamain Pehchanti kab hain.. 
Kabhi hum un ki Dharkan thay 
Yeh Shakhein Maanti kab hain..

No comments:

Post a Comment