best

Tuesday, 29 November 2016

ISHQ Me Jubba_O_Dastaar ALaG Rakhtay Hain,

ISHQ Me Jubba_O_Dastaar ALaG Rakhtay Hain,
ISHQ Me Jubba_O_Dastaar ALaG Rakhtay Hain,
Cheez Be_kaar H, Be_kaar ALaG Rakhtay Hain,
Gham_E_Duniya Say Teray Gham Ko Juda Rakhta Hoon,
Qeemti MaaL Dukan_Daar ALaG Rakhtay Hain,
Meray Dushman Tujhay Tehzeeb Nahi Hy Itni,
Baat Kartay Huay Talwaar Alag Rakhtay Hain,
Aaisay Duniya Ne Hamain Tum Se Alag Rakha H,
Jaisay Tareekh Mein Itwaar Alag Rakhtay Hain,
Khobsurat H Tera Chaand Bhi Lekin
Hum Zameen_Zaad Hain Miyaar Alag Rakhtay Hain.
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Bohat Satata Hai Ye Sawaal Mujhe,,,

Bohat Satata Hai Ye Sawaal Mujhe,,,
Bohat Satata Hai Ye Sawaal Mujhe,,,
   
Hum Kiu Milley Thy Jab Hamein Milna He Nahi Tha...!!

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.
Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.
Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hein.
Chand Muskurate Hein Ab Bhi Teri Aahat Per.
Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata.
Hum Diye Jalate Hein Ab Bhi Teri Aahat Per.
Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai...
Hum Khushi Manate Hein Ab Bhi Teri Aahat Per.
Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai.
Khwab Gungunate Hein Ab Bhi Teri Aahat Per.
Tere Hijr Me Hum Per 1 Aazab Taari hai.
Chonk Chonk Jate Hein Ab Bhi Teri Aahat Per.
Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai.
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,

Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,
Qatra ab ehtjaaj karey bhi to kiya miley,

Darya jo lag rahe they samandar se ja miley"

Har shakhs dorrta hai yahaan bheerr ki taraf,

Phir ye bhi chahta hai usay raasta miley"

Us aarzu ne aur tamasha bana diya,

Jo bhi miley hamaari taraf dekhta miley"

Duniya ko doosron ki nazar se na dekhiye,

Chehre na parrh sakey to kitaabon mein kiya miley"

Is dour-e-munsifi main zaruri nahin hai JOSH!

Jis shakhs ki khata ho usi ko saza miley".!

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 

best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.
Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.
Meri har Saans kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.
Main jab dekh k Tum ko Naye Duniya basati hon.
Ya jab bhi khobsorat khuwobon main Apnay pal betati hon.
Mera har khuwab kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.
Yeh sach hai main kabhi Tum se kuch keh nahi paye.
Tum se izhar-e-Muhabbat kabhi kar nahi paye.
Mere Hum-Dum
Meri Muskan kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Mujh se Gilay hain mujh py Bhrosa Nhi Usy.

Mujh se Gilay hain mujh py Bhrosa Nhi Usy.
Mujh se Gilay hain mujh py Bhrosa Nhi Usy.
Ye soch kr Hum ny Bhi To Roka Nhi Usy..
Wo shaks kbhi Chand Sitaro se ye puchey.
Hy kon C wo Raat jab socha Nhi Usy.
Alfaz Teer bn k utarty rhy Dil me.
Suntay rhy chup chap Hi Toka Nhi Usy.
Sagar ye Mohabt nhi Asul-e- wafa hai.
Hum Jaan to Dengy Magr Dhoka Nhi Usy.
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Jo daagh dil paiy lagay un ko mita kar jeetay

Jo daagh dil paiy lagay un ko mita kar jeetay
Jo daagh dil paiy lagay un ko mita kar jeetay
Kaisay hum un ki jafaon ko bhola kar jeetay 
Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay 
Ya to pathar ka koi bott hai bana kar jeetay 
Na andhaira na swaira na kiran ki koi umeed 
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay 
Jaanay wala koi sobha ka bhoola na tha 
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay 
Rung pheekay thay chaman main bhi gulon k warna 
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay 
Na koi hud haiy ulfat mai azaadari ki.. 
Na hi laazim tha k hum ansoo baha kar jeetay 
Zindagi bhi to badalti hai thikaanay shaukat
Warna momkin tha galay isko laga kar jeetay

poetry shaukat ali khan

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>..
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 

best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Azal Se Hai Mohabbat Maawra Lafzo`n Ki Maala

Azal Se Hai Mohabbat Maawra Lafzo`n Ki Maala
Azal Se Hai Mohabbat Maawra Lafzo`n Ki Maala
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai
Mohabbat Soch K Aakaash Par Baadal Ki Soorat Mein
Sada Parwaz Karti Hai
Kabhi Baarish Ki Boondo`n Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par
Utarti Hai,,, Bikharti Hai!
Ada Ley Kar SaBa Se Ye, Gulabo`n Se Mehak Ley Kar
Dhanak Se Rang Ley Kar Aur Sitaaro`n Se Chamak Ley Kar
Haseen Aanchal Banati Hai
Isi Aanchal Se Phir Khuwabo`n K Kachay Rang Sajati Hai
Mohabbat Aazmati Hai
Kabhi Ye Shayir Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hai
Kabhi Ye Saaz Ban Kar Dheeray Dheeray Gungunati Hai
Sarapa Aankh Ban Jati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-e-Yaar Mein Jaa Kar
Najanay Koan Sa Mantar Ye Parh Kar Holay Holay Se
Kisi Ki Band Palko`n Mein Bina Dastak Diye Yakdum
Utar K Ghar Banati Hai
Mohabbat Muskurati Hai
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanso`n Mein Hoti Hai
Bana Dey Chaand Teri Shab Ko Jo Ye Aisi Moti Hai
Kasak Hai Daa`emi Is Mein Buhat Be Naam Lazzat Hai
Mohabbat Ki Yehi Tareef Hai K Mohabbat Hai
Mohabbat Ka Tumhein Idraak Ab To Ho Gaya Hoga
Ye Jo Zakhm Deti Hai Kabhi Sehnay Nahi Deti
Mohabbat Rooth Jaye To Kabhi Jeenay Nahi Deti

"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"

"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"
"DECEMBER JAB BHi AATA HAi" 
wo pagli phir se beetay mosam ko yaad krti hai. 
porane cards parhti hai, k jis main oss Ne likha tha, 
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN 
Naye kaprey banati hai, wo sara ghar sajati hai, 
DECEMBER k har aik din ko wo gin gin ker bitati hai. 
joon hi 15 gozarti hai, wo kch kch toot jati hai,
Nahi maloom ye oss ko, K beete waqt ki khoshiyaan bohot takleef deti hain.
mehiz dil ko jalati hain. 
yoon hi din beet jate hain. 
DECEMBER lout jata hai. 
magr wo khosh feham larki, dobara se calendar main, DECEMBER k mahine k safey ko mor ker phir se DECEMBER k sehar main dhob jati hai.
k akhir os Ne likha tha, 
"MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN".

Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,

Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,
Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,

badal gaya Irada tujhy Dekhny k baad..

Chain se So jati The Ma In Sohani Ratoun mein,

Neendain Urh gyi Meri Tujhy dekhny k Baad..

Bohat Naaz tha Chand ko Apni Chandni Par,

Chup gaya Badloun mein wo B tujhy dekhny K Baad..

Kya banao rishta teri zaat k sath,

Uth Rahy hyn Sawal tujhy dekhny K Baad..

Apny Chehry ko Chupa k Rkho Khuda k Wasty,

Dil ho Jata hy Be Qabu tujhy Dekhny k Bad..

Monday, 28 November 2016

Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayaan rakha hai

Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayaan rakha hai
Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayaan rakha hai
Hawa kay waastay hum nay Dar-e-imkaan rakha hai

Saja saktay thay yadoon kay kai chehray kai pekar
Magar kuch soch kar hum ne yeh ghar veeraan rakha hai

Humen shoq-e-azziyat hai wagarna is zamanay main
Teri yaden bhulaanay ko bohat saamaan rakha hai

Teri jholi main laa daalengay qarzay is muhabat kay
Kay hum shoreeda’e sar hain, kab koi ehsaan rakha hai

Tumhen ye maan-na hoga kay hum ne apnay lab see kar
sakoot-e-shab ki muthi main koi toofaan rakha hai

Jo ho yaaro behar surat charaghon ko jalana hai
Hawaen kitni barham hain, ye hum ne jaan rakha hai

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Zindagi qaid e musalsal ka siwa kuch bhi nahi

Zindagi qaid e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Zindagi qaid e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Kiya tha‚ jurm- e -wafa‚ is‚ k siwa kuch bhi nahi
Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han
Dawa teri muhabbat k siwa kuch bhi nahi
…‚
Khnchti‚ ha‚ appni‚ taraf‚ gulshan‚ ki‚ rang- o- bu
Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi
Bhool‚ jana‚ aik‚ naymat‚ ha‚ kuda‚ ki‚ ‚ islia
Bhoolna tera‚ haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi
Thora‚ ha‚ farq‚ baqi‚ insan aur‚ hewan‚ ma
Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Irada Jo Bhi Karta Hoon Bil Aakhir Tor Deta Hoon

Irada Jo Bhi Karta Hoon Bil Aakhir Tor Deta Hoon
Irada Jo Bhi Karta Hoon Bil Aakhir Tor Deta Hoon 

Main Apnay Apko Mushkil Main Tanha Chor Deta Hoon 

Hunar Ab Aa Gaya Mujhko Wafao'n Ke Parakhnay Ka 

Dikhaway Ki Har Ek Chahat Main Wapis Mor Deta Hoon 

Najanay Zid Hai Ye Kaisi Ana Main Aur Mohabbat Main 

Talluq Torta Hai Wo Main Phir Se Jor Deta Hoon 

Wo Lamhay Uski Qurbat Ke Mujhay Jab Yad Atay Hain 

Phir Apnay Sabar Ka Daman Bhi Aksar Chor Deta Hoon 

Uljhti Hai Kahani Jab Wafao'n Aur Jafao'n Ki 

Kamal-E-Zabt Se Us Ko Naya Ek Mor Deta Hoon...

ﺍﺭﺍﺩﮦ ﺭﻭﺯ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ، ﻣﮕﺮ ﮐﭽﮫ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﺍﺭﺍﺩﮦ ﺭﻭﺯ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ، ﻣﮕﺮ ﮐﭽﮫ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ
ﺍﺭﺍﺩﮦ ﺭﻭﺯ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ، ﻣﮕﺮ ﮐﭽﮫ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ
ﻣﯿﮟ ﭘﯿﺸﮧ ﻭﺭ ﻓﺮﯾﺒﯽ ﮨﻮﮞ ، ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﺑُﺮﮮ ﮨﻮ ﯾﺎ ﮐﮧ ﺍﭼﮭﮯ ﮨﻮ ، ﻣﺠﮭﮯ ﺍِﺱ ﺳﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻄﻠﺐ
ﻣﺠﮭﮯ ﻣﻄﻠﺐ ﺳﮯ ﻣﻄﻠﺐ ﮨﮯ ، ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻟﮍ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﯾﮩﺎﮞ ﮨﺮ ﺩﻭﺳﺮﺍ ﺍﻧﺴﺎﮞ ﺧُﺪﺍ ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺳﻤﺠﮭﺘﺎ ﮨﮯ
ﺧُﺪﺍ ﺑﮭﯽ ﻭﮦ ﮐﮧ ﺟﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﮨﯽ ﺟﮭﻮﻟﯽ ﺑﮭﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺻﺎﻑ ﮐﮩﺘﺎ ﮨﻮﮞ ! ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﺍُﻟﻔﺖ
ﻓﻘﻂ ﻟﻔﻈﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﭘﮧ ﻣﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﻣﺴﺎﻓﺖ ﻧﮯ ﺑﮩﺖ ﺯﺧﻤﯽ ﮐﯿﺎ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ
ﺍﺑﮭﯽ ﯾﮧ ﺯﺧﻢ ﺑﮭﺮﻧﮯ ﮨﯿﮟ، ﻣﯿﮟ ﺁﮨﯿﮟ ﺑﮭﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﺑﮭﻠﮯ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﭼﺎﮨﺎ، ﻣﮕﺮ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺗﻮ ﭼﺎﮨﺎ ﮨﮯ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﻮ ﺩﻝ ﺳﮯ ﺗﻮ ﺑﺎﮨﺮ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﻧﺠﺎﻧﮯ ﺁﺩﻣﯽ ﮐﯿﻮﮞ ﺁﺩﻣﯽ ﺳﮯ ﺧﻮﻑ ﮐﮭﺎﺗﺎ ﮨﮯ
ﺟﻮ ﺍﭘﻨﮯ ﺭﺏ ﺳﮯ ﮈﺭﺗﺎ ﮨﻮ ﮐﺴﯽ ﺳﮯ ﮈﺭ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﺍﺭﮮ ﺍﻭ ﻋﺸﻖ ! ﭼﻞ ﺟﺎ ﮐﺎﻡ ﮐﺮ ﮐﺲ ﮐﻮ ﺑﻼﺗﺎ ﮨﮯ
ﺣُﺴﻦ ﺑﺎﺯﺍﺭ ﻣﯿﮟ ﺑِﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﺳُﻮﻟﯽ ﭼﮍ ﮪ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﯾﮩﺎﮞ ﮨﺮ ﺍﯾﮏ ﭼﮩﺮﮮ ﭘﺮ ﺍﻟﮓ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﻟﮑﮭﯽ ﮨﮯ
ﻣﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺁﻧﺴﻮ ﮨﯿﮟ ﺍﺑﮭﯽ ﮐﭽﮫ ﭘﮍﮪ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﺭﺍﺕ ﮐﯽ ﺯُﻟﻔﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺩ ﭼﺎﻧﺪﯼ ﺳﺠﺎﺗﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻣﺎﻧﮓ ﻣﯿﮟ ﻭﻋﺪﻭﮞ ﮐﮯ ﮨﯿﺮﮮ ﺟﮍ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﺑﮭﻠﮯ ﺟﮭﻮﭨﺎ، ﻣﻨﺎﻓﻖ ﮨﻮﮞ، ﺑﮩﺖ ﺩﮬﻮﮐﮯ ﺩﯾﮯ ﻟﯿﮑﻦ
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﺻﺪﺍ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ،ﻣﯿﮟ ﺩﮬﻮﮐﮧ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﻣﯿﮟ ﺍُﺱ ﮔﮭﺮ ﮐﺎ ﻣﻘﯿﻤﯽ ﮨﻮﮞ ﺟﺴﮯ ﺍﻭﻗﺎﺕ ﮐﮩﺘﮯ ﮨﯿﮟ
ﻣﯿﮟ ﺍﭘﻨﯽ ﺣﺪ ﻣﯿﮟ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺳﻮ ﺁﮔﮯ ﺑﮍﮪ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ

ﺍﺑﮭﯽ ﮐﭽﮫ ﺷﻌﺮ ﺭﮨﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﻣﮕﺮ ﻟﮑﮭﻨﮯ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﺮ ﮔﺰ
ﮐﺴﯽ ﮐﯽ ﻻﺝ ﺭﮐﮭﻨﯽ ﮨﮯ، ﺳﻮ ﻇﺎﮨﺮ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Do Aakho me , Dohi aansoo,

Do Aakho me , Dohi aansoo,
Do Aakho me , Dohi aansoo, 

Ek tere liye, Ek teri khatir..

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>.
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Saari Duniya Udaas Pao ge,.

Saari Duniya Udaas Pao ge,.
Saari Duniya Udaas Pao ge,.

Mujh Se Jo Tor diye Silsile Tum Ne,.

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Jane Kitne Hi Sawalat Adhuraye The Abhi.

Jane Kitne Hi Sawalat Adhuraye The Abhi.
Jane Kitne Hi Sawalat Adhuraye The Abhi.

Waqat-e-Rukhsat Meri Aankhon me To Dekha Hota .

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>....
poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy
 urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, 
best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status, 

Kitni Uddas Raat Thi Ab Tum Se Kya Kahon

Kitni Uddas Raat Thi Ab Tum Se Kya Kahon
Kitni Uddas Raat Thi Ab Tum Se Kya Kahon

Tanha Yeh Meri Zaat Thi Ab Tum Se Kya Kahon
.

Sholo Me Jal Rahi Thin Yeh Sanso Ki Tahnyia

Ha.laankeh Sard Raat Thi Ab Tum Se Kya Kahon
.

Suraj Pighal Gaya Woh Andheron Ke Darmiyaan

Roshan Uss Ki Zaat Thi Ab Tum Se Kya Kahon
.

Dawood Uss Ne Haath Mera Thaam Kar Kaha

Kehni Ek DiL Ki Baat Thi Ab Tum Se Kya Kahon

Poet Dawood Usloobi

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>