poetry, english poems, poetry online, urdu shayari, poetry urdu, urdu shairy urdu ghazals, urdu poetry, shayari urdu, poetry in urdu, best urdu poetry, ghazal urdu, poems, express, angry quotes, angry status,
▼
best
▼
Monday, 31 August 2015
Alone but happy,Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi
Hasrat thi teri par mein pa na saka,
Hasrat thi teri par mein pa na saka,
tumhari rah khud ko bewafa bana na
saka, meri dil ki tamanna mere dil mein hi reh gayi,
mein apna hal e dil
kisi ko suna na saka,
hazar kosish ki tumhe bhulane ki,magar tumhari kasam
tumhe bhula na saka
Na Ji Bhar Kay Daikha Na Kuch Baat Kii
Na Ji Bhar Kay Daikha Na Kuch Baat Kii
Barri Arzoo Thee Molaqat Kii
Kaaii Sall Say Kuch Khabar Hee Nahee
Kahan Din Guzara Kahan Raat Kii
Ujaloon Key Pariyaan Nahanay Lageen
Nadi Gungunaii Khiyalat kii
Main Chup Tha Tu Chalti Hawa Ruk Gaiee
Zubaan Sub Samjhtii Hain Jazbaat Kii
Sitaroon Ko Shayd Khabar Hee Nahee
Musafir Nay Jaanay Kahan Raat Key
Moqadar Mere Chasm e Pur Aab Ka
Barastii Howi Raat Barsat Kii
Alone but happy,mery ankhon mai jab....
mery ankhon mai jab....
zor ki barsat howi....
dekhnay per bhi sanam...
na din howa na raat howi.
chaltay ho kiun tanha...
yonhi be jaanbi manzil?
rooko?thero? Zarra...
ye kya baat hoi.???
dekho ye ankh ke moti....
ajabb anmol hain...
gham na hon jasay....
khushion ki barat howi.
dil hai mera ke sehra hai.....
jslta....rehta...hai ..?
adaat.e..sadma hai isse...
jase soghat howi.?
behtar hai sb milen.....
ro..ba..ro..e..
arsho...jahan...ibne shafi....?
kya ? Milna idhar?.....
ye bhi koi mulaqat hoi
Har zameen k hissay mea aasman nahi hota
Har zameen k hissay mea aasman nahi hota
hum kissi k or koi hummara nahi hota
tumhain chaha hai is zindagi se bher ker
ab tooh mout ka bhi atabar nahi hota
muje zehar e mohabbat se wo dastaa rahaa
muje zehar e mohabbat se wo dastaa rahaa
qatra qatra zehar ye mere andar utarta rahaa
jab phail geya rag rag mein ye meetha saa zehar
tab muje hosh mein lanay k liye dar dar bhatkay...
Alone but happy,Koi Yaad Saloni Si,
Koi Yaad Saloni Si,
Koi Baat Purani Si,
Aankhon Se Jaari Hai,
Ashkon Ki Rawani Si,
Hans Ke Kisi Se Milna,
Lagta Hai Kahani Si,
Koi Mujh Ko Lagti Thi,
Khwabon Ki Raani Si,
Mere Rahe Takti Thi,
Pagal Si Diwani Si,
Bachpan Ke Beete Din,
Lagte Hai Nadani Se,
Aaj Jab Wo Mile,
Lage Kitne Begane Se.
Alone but happy,Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga
Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga
Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga
Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga
Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga
Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga
Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga
Alone but happy,Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya
Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya
Main apni bebasi pe yun hi hansta chala gaya
Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ke khawab
Phir mere saamnay se woh rasta badalta chala gaya
Main ro para tha jis ki judai ko soch kar
Woh shakhs mere haal pe hansta chala gaya
Main khud lipat gaya tha jise Dost jaan kar
Woh saanp ki tarhan mujhe dasta chala gaya
Dil me mehak rahe hain kisi aarzoo ke phool
Dil me mehak rahe hain kisi aarzoo ke phool
Palkon pe khilne wale hain shayad lahoo ke phool
Ab tak hai koi baat mujhe hurf hurf yaad
ab tak mai chun raha hun kisi guftugu ke phool
Kaliyan chatak rahi thin ke awaz thi koi
ab tak sama_aton me hain ik khush gulu ke phool
Mere lahoo ka rang hai har noke khaar par
sehraa me har taraf hain meri justuju ke phool
Deewane kal jo log the phulon ke ishq me
ab unke damano me bhare hain rafoo ke phool
Saturday, 29 August 2015
Wo kia hotay han pr tum inko kia se kia smjhti ho
Wo kia hotay han pr tum inko kia se kia smjhti ho
Ke jo bhi hans k mil lay ussy apna smjhti ho
Chalo hum maan letay han k milna shart hi kb thi
Magr tum fasilon ko bhi koi rishta smjhti ho
Tum Uski zaat ka hissa tum uski soch ka mehwar
Tumhara jism hai wo tum jisse saya smjhti ho
Buhat totay huye hain hum, Abhi dastak nahi dena,
Buhat totay huye hain hum, Abhi dastak nahi dena,
Hamari ankh hai purnam, Abhi dastak nahi dena,
Mere yaro abhi kuch din mere ahwal mat pocho,
Abhi dil me hai us ka gham, Abhi dastak nahi dena,
Shab-e-tanhai me yaro tarapna hai buhat mujh ko,
Abhi hai DARD kuch madham, Abhi dastak nahi dena
Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain.
AANSUOO KO KHABAR KAISY HOI TERI JUDAI KI WASI....;-(
AANSUOO KO KHABAR KAISY HOI TERI JUDAI KI WASI....;-(
SHAYAD YE KHUD HI NIKAL PARY HAIN TERI TALAASH MAIN.
Main Kaise Sard Haatho'n Se Tumhare Gaal Chhu'taa Tha.
Main Kaise Sard Haatho'n Se Tumhare Gaal Chhu'taa Tha.
December Mein Tumhe Meri Shararat Bahut Yaad Aayegii…
Main Apni Dosti Ko Sheher Me Ruswa Nhi Krti,
Main Apni Dosti Ko Sheher Me Ruswa Nhi Krti,
Mohabbat Main B Karti Hun Magar Charcha Nhi Krti,
Jo MuJh Se MiLnay Aa Jaye Main Us Ki DiL Se Khadim Hon,
Jo Utth K Jana Chahay Main Usy Roka Nhi Krti,
Jisy Main Chhor Deti Hun Usy Phir BhooL Jati Hon,
Phir Us Hasti Ki janib Main Kabhi Dekha Nhi Krti,
Tera Israar Sar Aankhon Pe K Tum Ko BhooL Jaon Main,
Main Koshish Kar K Dekhon Gi Magar Waada Nhi Krti
Ab Mujhe Facebook ,
Ab Mujhe Facebook ,
Twitter , Whatsapp Pe Nahi ...
Balke Apni Baanhon Mein ,
Block Kar Do Meri Jaan ... !!
Wo Pagli Paas Ho Kar Mere ,
Wo Pagli Paas Ho Kar Mere ,
Mujh Se Kaha Karti Thi.
Bosa-E-Rukhsaar Na Lijiye ,
Hayaa Humko Aati Hai.
Friday, 28 August 2015
Thursday, 27 August 2015
Aik lafz mohabbat hai, use ker ke dekho tum
Aik lafz mohabbat hai, use ker ke dekho tum
Barbad na ho jaoo, to mera naam badal dena
Aik lafz muqadar hai, us se lard ke dekho tum
Haar na jaoo to mera naam badal dena
Aik lafz wafa hai, jo duniya mein nahi milti
Kahien se agar mil jaye to, mera naam badal dena
Aik lafz ansoo hai, use dil mein chupa ker dekho tum
Ankhoon se na beh jaye to, mera naam badal dena
Aik lafz judai hai, use seh ker dekho tum
Toot ker na bikher jaoo to, mera naam badal dena
You might also like: